Mansehra Ko Alveda Kehnay Kaa
Time A Gia Thaa Hum Nay Apni Fojh Ko Jama Kia Bazaar Say Zarorat Ki Chesein
Akhtee Kein Chai Ko Tharmoss Mein Bhar Lia Wesay Tu Chai Har Jagah Baasani
Dastyaab Thee Magar Iss Hotel Ki Chai Sahi Mano Mein Doodh Paty The Or Chai
Humaree Kamzori Thee Kuch Doston Ka Ye Bee Khayaal Hay Kay Agar Humein Koi
Larkee Ghaas Nahi Dalay Gee Tu Khadsha Hay Kay Hum Kici Achee Se Chai Banaywalay
Say Hee Na Shadi Kar Lein Jabh Kay Asa Kuch Na Tha Werna Jitna Hum Awaraagardee
Kar Chuckay Or Ghaat Ghaat Ki Chai Pee Or Pasand Kar Chuckay Thay Koi 1200
Shaadian Kar Chuckay Hutay Humaree Garee Subah 30 Mnt Kay Suhanay Say Safar Kay
Baad Abbotabad Say Mansehra Pohanchee Thee Driver Niaz Abotabad Kaa Nahi Lagtha
Tha Kamzoor Sa Jisem Darmiana Qad Gandumi Rangh Hum Nay Kaha Bahi Kia Load
Shading Or Qahet Kay Din Paida Huay Thay Wo Muskara Dia Kaha ,,,Khan Saab Fer
Race Lagaein Gay Kici Pahaar Par Pora Din Ap Meray Sath Paidal Chalo Gay Tu
Faisla Hu Ga Kon Taqatwar,,,,,,,Hum Nay Uss Ka Challenge Qabool Kar Lia Iss
Yaqeen Kay Sath Kay Wo Bhut Fit Hay Or Yaqeenan Jeet Hee Jaye Ga Mansehra Pori
Tra Say Pur Josh Tha Har Koi Apnay Kaam Mein Magan Kuch Mazdoor Mazdoori Kay
Intezaar Mein Bathay Huay Thay Sab Say Zayda Kaam Fruit Sabzee Or Hotel Walon
Kaa Chamak Raha Tha Ya Subah Ki News Thein Din Agay Barnay Kay Baad Iss Bazaar
Mein Rush Kaha Hu Ga Humein Iss Kaa Ilm Nahi Thaa Magar Iss Time Fruit Sabzee
Hotel Walon Ka Palraa Bahree Tha Kher Navid Sohail Nay Green Signal Dia Kay Un
Ki Shoping Pori Hu Chuckee Hay Hum Nay Garee Ki Janib Rukh Mor Dia Bazaar Mein
Rush Barta Ja Raha Tha Bari Basein Musaferon Say Bhuree Huein Thein Un Kay Harn
Kaan Kay Parday Phaarnay Kay Darpay Thay Logh Bus Ki Kherkion Say Mansehra Kay
Bazaar Ko Ghoor Rahay Thay Buson Kay Har Jagah Stop Ki Waja Say Trafic Jaam Hu
Raha Tha Ju Kay Silk Road Ki Shaan Mein Ek Gustakhee Thee Ubh Humaree Manzil
Shinkiyari Say Hutay Huay Batgaram Thee Wahaan Huamara Aghla Paraow Parnay Wala
Tha(Jaaree Hay)