Mansehra Kay Pakistan Hotel
Mein Sada Saa Nashta Kartay Huay Sohail Ko Paan Ki Yaad Ayee Wo Uth Kar Mansehra
Kay Bazaar Mein Gum Hu Gia Kalim Nay Washroom Kay Wajood Ka Faida Uthana Kaa
Eraada Kia Or Gahieb Navid Nay Cigret Ki Asee Tesee Karna Shuro Kar Dee Hotel
Kay Mulaazim Ya Yun Keh Lein Waiters Tezee Say Aatay Jatay Thay Sath Sath
Makhsos Awazon Mein Order Lay Or Dey Rahay Thay Subah 6 Bjay Hotel Mein Rush
Dekhnay Say Taluq Rakhta Tha Bilkul Railway Station Ki Tra Garion Kay Rush Kay
Sath Hee Shore Or Karobaar Bar Jata Fer Sakoot Saa Hunay Laghta Hum Nay Parathon
Or Chai Kay Sath Khubh Insaaf Kia Kalim Or Sohail Nay Asa Khaya Jasay Unn Kaa
Akhree Nashta Hu Ya Pher Hakoomat Nashtay Par Pabandee Laghanay Wali Hu Ye Shaer
Jis Ki Abaadee Mein Bhut Izafa Hu Chucka Hay Satah Samander Say3570 Feet Ouncha
Hay Garmion Mein Kafee Garam Hu Gia Tha Abhee Suabh Kay Time Asa Kuch Ehsaas Nhi
Hu Raha Tha Sabzee Or Fruit Mandee Mein Bhut Rush Tha Shore Asa Kay Naa Pochiye
Mansehra Subah Sawaray Hee Pori Tra Jagh Raha Tha Driver Nay Keh Dia Tha Yahan
Say Jaldee Nikal Jana Hay Werna School Ka Time Hu Janay Kay Baad Trafic Jam Hu
Jaye Ga Humein Hansee Aa Gai Karachi Walon Ko Trafic Jaam Say Dara Raha Tha Hum
Nay Para Tha Kay 272bc Mein Great Ashoka Yahan Ka Governor Reh Chuckaa Tha Yahan
Pr Uss Kay Dour Ki Neshaniaan Mojhudh Hein Ubh Tak Fer Duaraanio Kay Bad Sikhun
Nay Bee Yahan Hakoomat Ki Thee Wo 1818 Mein Yhan Hakoomat Mein Thay Maan Singh
Nay Iss Shaer Ki Tameer Ki Ya Yun Keh Lein Maan Singh Nay Isay Abaad Kia Fer
1849 Mein Yahan British Raj A Gia British Raj Nay Mansehra Kay Aman O Amaan Kay
Liye Bahut Kaam Kia Ye Bhut Chota Sa Qasba Numma Shaer Tha Or 1901 Mein Iss Ki
Abaadee 5000 Kay Lagh Bhagh Thee. Iss Dour Mein Mansehra Ki Ek Bari Khubee Ye
Thee Kay Ye Silk Raod Par Abaad Hay Siaah Iss Ko Salaam Kiye Bina Agay Nahi Bar
Saktay Ye Sab Ko Khushamdeed Kehta Hay Hum Nay Bari Bad Dili Say Mamoli Saa Bill
Adaa Kia ,,,Hum Nay Paharon Mein Ghreay Huay Mansehra Par Ek Alvidaiee Nazar
Douraaiee ,,,Apni Manzil Ka Socha Dil Ny Kaha,,Aa Bee Jaa Mray
Mehramaa,,,(Jaaree Hay)