KARAKORAM High Way Jis Ki
Tameer Mein 1010 Loghun Nay Apni Jaan De Jis Mein Say 810 Pakistani Or 200
Chinese Thay Iss Liye Iss Ko Shara E Dosty Bee Kaha Jata Hay Ye Halaaktein Zayda
Land Slide Or Neechay Ger Janay Ki Waja Say Huein . Ye Pakistan Ko China Say
Khunjhraab Pass Say Milwaaty Hay 15397 Feet Satah E Samandar Say Buland
Khunjhrab Pass Jisay Zero Point Pak China Border Kay Naam Say Bee Jana Jata
Hay.Karakoram High Way Jiss Ki Tameer 1959 Mein Shuro Hui Jabh Kay Iss Road Ko
Public Kay Liye 1979 Mein Khol Dia Gia Pakistan Kay Hisay Mein Iss Ki Taameer Ki
Zimadaari FWO Nay Ada Ki Ju Pakistan Army Ka Hisa Hay.Abbotabad Say China Kay
Shaer Kashgar Tak Ye 1300km Entahaiee Dushwaar Guzaar Sarak Duniya Ka Ek Ajooba
Hay Or Khetay Ki Ek Eham Muaashi Shah Ragh Hay.2006 Mein Dono Malkon Ki Janib
Say Ek Memorandun Sighn Hua Hay Jis Kay Baad Iss Ki Tameeer Or Mazeed Tousee Ka
Faislaa Kia Gia Jis Say Iss Khetay Mein Mazeed Khushhali Aye Ge Safar Na Serf
Asaan Hu Jaye Ga Balkay Fuel Ki Madh Mein Bee Bhut Bachat Hu Sakay Gee Ajeeb Sar
Zameen Hay Kuch Bee Iss Kay Naqshay Or Raston Ko Yaqdam Badal Kar Rakh Deta Hay
Humaree Garee Chatar Ki Traf Jaa Rahee Thee Kalim Bola Khan Saab Sher Darya Kaha
Gia Sohail Bola Baita Tha Kot Tak Araam Say Baith Ja Teray Liye Darya Yahan Tu
Anay Say Raha Ap Ko Hee Jana Hu Ga Uss Kay Pass Navid Bola Bahi Mein Nay Sona
Nikalna Hay Darya Say Niaz Muskaranay Laga Khan Saab Aap Logh Asay Hee Hu Ya Ye
Mera Waham Hay Mein Bola Asay Kasay Ka Matlab Niaz Kuch Bolta Uss Say Pehlay Hee
Kalim Kehnay Laga Niaz Bahi Buraa Na Mananaa Navid Nay Ajh Medicine Nahi Li
Thoree Deir Mein Theek Hu Jaye Ga Sohail Nay Kaha Werna Darya Tu Hay Hee Har
Marz Ki Dawaa Wesay Bee Thakot Say Phenkein Gay Tu Kotri Hyderabad Say Niklay Ga
Na Ticket Na Takleef Araam Ka Araam Bachat Ki Bachat,,,,Navid Nay Apni Shirt Ki
Gher Moujhdh Asteen Charana Shuro Kar Dee Sohail Or Navid Masnoiee Andaaz Mein
Khuf Zada Hu Gaye Fer Kalim Bola Khud Garee Say Koday Ga Ya Hum Phenk Dein Mein
Bola Khabardar Navid Ny Shukeria Kay Andaaz Mein Humein Dekha ,,,,,,,,,Iss Kay
Pasay Nikal Kar Nechay Phenkna(Jaaree Hay)