GAREE Mazay Mazay Say Chal
Rahee Thee Kay Silk Road Nay Apna Asal Chahra Dekha Dia Ek Dam Say Garee Nay
Ounchaiee Ki Taraf Charna Shuro Kar Dia Niaz Nay Garee Taqreeban Rok Denay Kay
Baad Pehlay Gear Mein Daal Dee Ubh Garee Nay Teiz Saqeel Say Dhuwein Kay Badal
Bannana Shuro Kar Diye Silk Road Par Humaree Garee Nay Zabardast Kisam Kaa
Pollution Phelana Shuro Kar Dia Har Kici Nay Apnaa Tawaazun Barqraar Rakhnay Kay
Liye Kici Na Kici Cheese Ko Thaam Lia Tha Garee Ki Awaaz Nay Ubh Ghurraahat Ki
Shakal Ekhtiaar Kar Li Thee Niaz Nay Apni Ankhein Road Par Jama Rakhien Thein
Humein Uss Ki Ye Hee Ek Ada Bhut Pasand Thee Asay Raaston Par Driver Jabh Sarak
Par Nazar Jama Kar Chalta Hay Tu Musaferon Ki Jaan Mein Jaan Rehty Hay .Sarak
Bhut Patli Hu Gai Thee Qun Kay Uss Ki Kinaray Toot Phoot Chuckay Thay Ubh Abadee
Kahien Pechay Reh Gai Thee Ek Tarf Pahaar Dosree Taraf Khaee Thee Navid Garee
Kay Tyres Par Nazar Jamany Ki Koshish Kar Raha Tha Hum Ye Dekh Kar Muskaraye
Bagher Naa Reh Sakay Samnay Say Ata Trafic Sarak Ko Or Tangh Saa Bana Deta Tha
Kaie Dafa Ek Garee Ruk Kar Dosree Ko Rasta Dety Thee .Iss Mein Koi Shak Nahi Tha
Kay Haryaali Nay Har Jagah Par Apna Qabzaa Jamaya Hua Tha Jis Ki Waja Say Har
Manzar Mein Ek Dilkashi The Ek Husan Tha Asa Husan Jis Mein Kashish Thee Khushbu
Thee ,,,Sochta Hun Kia Meri Ankh Mein Husan Hay Yaa Ye Manzaar Hee Haseen
Hay,,,,Ye Kitna Dilkash Ehsaas Hay Kay Meray Des Mein Koi Kami Nahi,,,,,Assay
Pahaar Darya Roye Zameen Par Shaied Kahien Nahi,,,,Beshak Meray MALIK Pakistan
Mein Koi Kami Nahi,,,,,Hum Garee Mein Lot Aye Ju Ek Jhatkay Say Ruk Gai Thee
Niaz Nay Neechay Utar Kar Saray Tyres Ko Check Kia Uss Kaa Khiyaal Tha Shaied
Koi Pathar Wheels Kay Darmiyaan Phans Gia Hay Pechlay Wheelon Ko Achee Tra Check
Kar Lainay Kay Baad Uss Nay Garee Start Kar Dee Hum Ek Dafa Pher Khabon Ki
Sarzameen Ki Yaatra Ko Chal Paray,,,,,,Chal Musafer Chal Kia Ajh Kia Hay Kal