Rasool-E-Pak (Sallal Lahu
Alaihe Wasallam) Ne Fermaya Keh Ek Aisa Zamana Aaney Wala Hey Keh Jab Kafir Aur
Mushrik, (Yahood-O-Nasara Aur Deegar Aqwaam) Musalmano Per Iss Tarah Tootainge (Unko
Marney, Nuqsaan Pohnchaney Aur Zaleel Kerney Key Liye) Keh Jaisey Bhookey
Dasterkhowan Per Tootthey Hain. Tau Sahaba Kiram (Rizwaanullah-E-Alaihim Ajmaeen)
Ne Arz Kia Keh Ya RasoolALLAH, "Kia Ham Musalman Us Waqt Thorrey Honge"?, Tau
Rasool-E-Pak (S.A.W.) Ne Fermaya Keh "Nahein…Us Waqt Ham Thorrey Nahi Hongey
Balkeh Ham Us Waqt Samandar Key Jhagon Key Barabar Hongey", Tau Sahaba-E-Kiram (R.A.)
Ne Arz Kia Keh Ya RasoolALLAH (S.A.W.) Aisa Kiyoon Hoga? Tau Rasool-E-Pak (S.A.W.)
Ne Fermaya Keh Us Waqt Musalmano Mein WAHAN Ki Beemari Lag Jaeygi.
Sahaba-E-Kiram (R.A.) Ne Phir Arz Kia Keh Ya RasoolALLAH; Yeh Wahan Ki Beemari
Kia Hoti Hey, Tau Rasool-E-Pak (S.A.W) Ne Irshaad Fermaya Keh, "Wahan Ki Beemari
Hoti Hey - DUNYA SEY MOHABBAT AUR MAUT SEY KHOF". Yani Musalamano Key Ander Sey
Jehad Ka Jazbah Nikal Jaey Ga, Who Maut Sey Ghabraeyga Ziadah Zinda Rehney Ki
Justujoo Mein Rahega, Her Shakhs Dunya Kamaney Ki Fikr Mein Hoga, Ziadah Sey
Ziadah Maal Samaitney Ki Fikr Mein Hoga Aur Mot Jo Keh Ek Atal Haqeeqat Hey Us
Sey Door Bhagney Ki Koshish Kareyga, Jaisey Jaisey Uski Umar Ziadah Hoti Jaey Ge
Waisey Waisey Usmein Ziadah Sey Ziadah Zinda Rehney Ki Khowahish Barrhti Jaeygi,
Dunya Ki Mohabbat, Maal Ki Mohabbat, Aulaad Ki Mohabbat Uskey Ander Barrhti
Jaeygi, Mot Key Naam Sey Usey Khof Aaeeyga.
Yahan Yeh Baat Bhi Ghor Talab Hey Keh Rasool-E-Pak (S.A.W.) Ne Musalmano Ki
Kasrat Ki Misaal Samander Key Jhagon Sey De Hey Jokeh Tadaad Mein Tau Bohot
Ziadah Hotey Hein Magar Unmein Taaqat Bilkul Nahi Hoti; Iss Baat Sey Aap Andaza
Lagalein Keh Kia Aap (S.A.W.) Ki Kahi Huwi Wo Baat Puri Hochuki Hey? Koi Kisi
Sey Kia Kahey; Yeh Tau Her Shakhs Key Apney Girebaan Mein Jhank Ker Dekhney Ki
Zuroorat Hey, Keh Aaj Ham Kahan Kharey Hein, Dunya Ki Aisi Konsi Daulat Hey Jo
Musalmano Key Paas Nahi? Magar Ham Itney Buzdil Aur Kamzoar? Yaqeenan
Sahaba-E-Kiram (R.A.) Ko Us Waqt Rasool-E-Pak (S.A.W.) Ki Yeh Baat Sun Ker
Shadeed Sadmah Pohncha Hoga Keh Unhoon Ney Kitni Barri Aur Azeem Qurbanian Deker
Iss Mazhab-E-Islam Ki Aabiari Ki Aur Ham Ney Kis Bedardi Sey Unki (R.A.) Iss
Kawish Ko Khaak Mein Miladia.
Ab Bhi Kuchh Nahi Bigrra; Ham Ab Bhi Chahein Tau Apna Wo Muqaam Dobara Hasil Ker
Saktey Hein, Agar Ham Wahan Ki Beemari Ko Apney Ander Sey Nikaal Dain, ALLAH
Tabarak Wa Ta'ala Sey Dua Hey Keh Wo Hamein Iss Beemari Ko Hamarey Ander Sey
Nikalney Ki Jaddo Jehed Mein Hamari Madad Fermaey. Aameen.