ALLAH Ta'ala Ney Insaan Ko Kun
Keh Ker Kiyoon Paida Nahi Fermaya; Wo Is Baat Per Bhi Qadir Hey Keh Insaan Ko
Bhi Kun Keh Ker Paida Farma Deta Magar Nahi … Kyoon?
Quran Pak Mein ALLAH Pak Ney Farmaya Jiska Mafhoom Hey Keh "Ham Ne Jinno Aur
Insaan Ko Paida Fermaya Takeh Wo Hamari Ibadat Karain"
Yahan Ham Zikr Choonkeh Insaan Ki Azmat Ka Ker Rahey Hein Iss Liye Is Waqt Ham
Baat Sirf Insaan Ki Karain Ge… Jinnat Key Barey Mein Phir Kabhi Baat Hogi Agar
ALLAH Ne Chaha Tau.
Yani ALLAH Pak Ney Insaan Ko Apni Ibaadat Key Liye Paida Fermaya Aur Kaha Keh
Rizq Tau Tumhein Ham Deinge, Doosri Makhlooqat Bhi ALLAH Pak Ki Ibaadat Kerti
Hein Magar Yahan Zikr Sirf Insaan Ka Hey Kiyoon Keh Insaan Ashraful Makhlooqaat
Hey. ALLAH Pak Ney Baqiah Makhlooqaat Ko Insaan Ki Khidmat Key Liye Paida
Fermaya.
Yahan Thora Sa Samajhney Ki Baat Hey Aur Ghor Kerney Ki Keh ALLAH Pak Ne Insaan
Ko Apney Liye Paida Fermaya Aur Deegar Makhlooqat Ko Insaan Key Liye Paida
Fermaya, Inn Deegar Makhlooqaat Mein, Farishtey Aur Hoorein Bhi Shamil Hein
Jokeh Noori Makhlooq Hein…Janwar, Charind, Parind, Jangli Hayaat, Shajar, Hajar,
Samandar, Darya, Pahar, Aabi Makhlooq, Machhliyan, Gharz Keh Dunyawi Aur Samawi
Jitni Qism Ki Bhi Makhlooqat Hein Wo Sab ALLAH Pak Ne Insaan Ke Liye Ya Yoon
Kahein Keh Insaan Ki Khidmat Key Liye Paida Fermaein
Aur Insaan Ko Apney Liye Paida Fermaya (Yani Khas Apni Ibadat Key Liye) …ALLAH
Ta'ala Ney Insaan Ko Kitna Bara Maqaam O Martaba Ata'a Fermaya Keh Usey Apney
Liye Muntakhab Fermaya, Yahan Baat Musalman Ki Nahi Horahi, Musalman Ka Martaba
Tau Aur Bhi Kahein Ziadah Hey, Yahan Tau Baat Insaan Ki Horahi Hey Jismein
Muslim, Kafir, Mushrik, Munafiq Aur Bid'ati Sab Hi Shamil Hein.
Iss Pouri Guftugoo Ka Hasil Yeh Huwa Keh Tamam Makhlooqaat Khadim Hein Insaan Ki
Aur Insaan Makhdoom Hey Baqi Makhlooqaat Ka (Makhdoom Yani Jiski Khidmat Ki Jaey).
Ab Wo Log Ghaor Ferma'ain Jo Insaan Ko Farishtey Sey Milatey Hein…Wo Insaan Ko
Farishta Keh Ker Insaan Ki Toqeer Ko Ziadah Kertey Hein Yak Eh Kam Kiyoon Ke
Insaan Makhdoom Hey Jabkeh Farishta Khadim (Yeh Alag Baat Hey Keh Uski Paidaish
Noor Sey Huwi Hey Jabkeh Insaan Ki Paidaish Matti Sey) Farishton Ka Hazrat Adam
(A.S.) Yani Insaan Ko Sajdah Kerna Bhi (Jiska Quran Pak Mein Zikr Mojood Hey)
Yeh Batata Hey Keh Insaan Farishton Sey Afzal Hey.
Yeh Tau Kaha Jasakta Hey Keh Iss Insaan Mein Farishton Wali Sifaat Ya
Khusoosiyaat Hein, Kiyoon Keh Farishta Hona Alag Baat Hey Aur Farishton Wali
Sifaat Hona Alag Baat. Farishton Mein ALLAH Ta'ala Ney Gunah Kerney Ki Salahiyet
Hi Nahi Rakhi, Farishta Chahey Bhi Tau Gunah Nahi Ker Sakta, Ab Agar Koi Kahey
Keh Farishta Gunah Nahi Kerta Tau Ismein Kamaal Ki Konsi Baat Hey Kiyoon Keh
Usmein Gunah Kerney Ki Salaheyet ALLAH Ta'ala Ne Rakhi Hi Nahi,
Haan Agar Koi Yeh Kahey Keh Ek Insaan Ney Gunah Key Sarey Wasail Hotey Huwey Bhi
Gunah Nahi Kia Tau Yeh Kamaal Ki Baat Hey. Iski Misaal Iss Tarah Hey Keh Ek
Office Mein Rishwat Hoti Hi Nahi Hey, Agar Koi Rishwat Lena Bhi Chahey Tau Ley
Nahi Sakta Aur Phir Koi Doosra Shakhs Yeh Kahey Keh Falan Banda Barra Shareef
Hey Wo Rishwat Nahi Leta Tau Log Kahein Ge Keh Jab Uskey Mehekmey Mein Rishwat
Wala Koi Matter Hey Hi Nahi Tau Wo Kia Rishwat Lega Ismein Tau Uski Sharafat
Wali Koi Baat Hi Nahi…Lekin Agar Koi Aisey Departments Mein Kaam Kerta Hey Keh
Jahan Rishwat Leney Ke Hazaar Tareeqey Hein Aur Uskey Pakrey Janey Ka Bhi Koi
Khaof Ya Imkaan Nahi Hey, Phir Wo Shakhs Kehta Hey Keh Mein Rishwat Iss Liye
Nahi Laita Keh Yeh Kaam ALLAH Pak Ko Pasand Nahi, Tau Yeh Waqei Kamaal Ki Baat
Hey, Aur Agar Uskey Barey Mein Kaha Jaey Keh Usmein Farishton Wali Sifaat Hein
Tau Yeh Ghalat Na Hoga Lekin Usko Farishta Kehna Ghalat Hoga.
Jab Sey Yeh Kaenaat Bani Hey ALLAH Ta'ala Ki Tamam Makhlooqaat Apney Apney Kamon
Mein Lagi Howi Hein, Insaan Key Dunya Mein Aaney Se Pehley Bhi Suraj Chamakta
Tha, Dunya Mein Din Bhi Hota Tha Aur Raat Bhi Hoti Thi, Chand Sitarey, Hawa,
Pani Sab Mojood They Aur Apney Apney Kamon Mein Lagey Huwe They, Jab Hazrat
Aadam (A.S. ) Ko ALLAH Pak Ney Jannat Sey Dunya Mein Utara Tau Us Waqt Dunya
Mein Raat Thi…
Yeh Kaenaat Insaan Key Liye Hey Magar Insaan Iss Kaenaat Key Liye Nahi, Iski
Misaal Istarah Hey Keh Hazrat Adam (A.S.) Sey Laiker Aaj Tak Arbon Kharbon
Insaan Iss Dunya Mein Aaeey Aur Chaley Gaey Magar ALLAH Ki Iss Kaenaat Per Koi
Faraq Nahi Parra, Yani Suraj Usi Tarah Chamak Raha Hey, Din Aur Raat Bhi Apney
Apney Waqt Per Nikal Rahey Hein, Sardi, Garmi, Barish, Hawa, Aag, Pani Sab
Mojood Hein Aur Unkey Kamon Mein Koi Tabdeeli Nahi Aaee Hey, Jabkeh Agar Suraj
Roshni Dena Band Kerde, Hawa Chalna Band Hojaey, Barish Na Ho, Dhoop Na Nikley,
Darakht Paida Na Hoon, Phal, Phool, Ajnaas, Janwer, Gosht, Doodh Aur Isi Tarah
Ki Be-Shumaar Naimatein (Cheezain) Na Milein Ya Unmein Sey Koi Ek Cheez Bhi Na
Milay Tau Insaan Ko Faraq Parjata Hey. Yeh Tau Qudrati Cheezein Hein Lekein Agar
Ghair Qudrati Cheezain Jesey Bijli, Gas, Petrol Bhi Na Miley Tau Insaan Pareshan
Hojata Hey, Kiyoon, Issliye Keh Wo Tamam Cheezain Insaan Ki Khidmat (Zuroorat)
Key Liye Paida Ki Gai Hein, Jab Wo Nahi Miltein Tau Insaan Pareshaan Hojata Hey.
Isi Tarah, Jab ALLAH Pak Ney Insaan Ko Paida Fermaya Apney Liye Aur Phir Jab
Insaan ALLAH Pak Ki Nahi Manta Tau Aap Samajh Saktey Hein Keh Kia Hota Hoga. Yeh
Insaan Jisey ALLAH Pak Ney Apney Hathon Sey Banaya, Puri Makhlooqaat Ka Makhdoom
Banaya, Ashraful Makhlooqaat Banaya, Farishton Sey Sajdah Kerwaya, Iskey Liye
Jannat Ko Araasta Farmaya, Iske Liye Hoorein Banaein Aur Jitna Ghor Kertey
Ja'ain Maloom Hota Jaeyga Keh ALLAH Pak Ney Insaan Key Liye Kia Kia Banaya Aur
Insaan Sey Tau Sirf Abd Banney Ki Chahat Ki Gai Thi Wo Us Mabood-E-Barhaq Ka
Sahih Mano Mein Abd Bhi Nahi Ban Saka? Afsos, Sad-Afsos, Kitni Takleef Ki Baat
Hey, Kash Hamari Samajh Mein Aajaaey Aur Ham Bandey Ban Ja'ain.
Ham ALLAH Ko Tau Maantey Hein Magar ALLAH Ki Nahi Maantey, Jab Tak Ham ALLAH Ki
Nahi Manein Ge Hamari Paidaish Ka Maqsad Pura Nahi Hoga.
Hamein Aaj Sey Hi Sachey Dil Sey Tobah Kerkey Apney Maqsad-E-Haqeeqi Ki Taraf
Palat Aana Chahey'ey Takeh ALLAH Pak Ki Naraazgi Door Ho Ja'ey Aur Hamarey Upper
Sey Zalim, Jaabir Aur Beydeen Hukamraro Ki Ghilaazat Door Hojaey.
Sirf ALLAH Ki Zaat Per Sacha Aqeedah Yani La Ilaha IllALLAH (Nahi Koi Mabood
Magar ALLAH) Hamarey Sarey Maslon Ka Hal ALLAH Hi Key Paas Hey, Sachey Dil Sey
Pukar Ker Tau Dekho, Raat Ko Uth Ker Khamoshi Sey Do (2) Aansoo Giraker Tau
Dekho, Agar Aapki Dunya Na Badal Jaey Tau Mera Naam Badal Dena?
Sirf Rozaana 5 Waqt Ki Namaz Ka Taqaza Hey Aur Gunaho Sey Bachney Ka, Jannat Tau
Bani Hi Musalmano Key Liye Hey, Kafir Aur Mushrik Thori Jannat Mein Ja'aingey?
Unhein Tau Jannat Ki Khushboo Bhi Nahi Mileygi.
Khatam Shud