HUMARAA Aghlaa Paraow Beshaam
Mein Huna Tha Hum Nay Tha Kot Say Kuch Shoping Karnay Kay Baad Hum Garee Ki
Janib Baray Garee Apni Jagah Mojudh Thee Magar Driver Niaz Lapata Tha Hum Charon
Garee Kay Pas Aa Kar Park Hu Gaye Samnay Darya E Sind Mojh Dar Mojh Thaa Uss Ki
Chaal Mein Ek Tamkunat Thee Ghror Tha Kitni Zameen Ye Sairaabh Karta Tha Har
Kici Ki Roty Rozi Kaa Bandobast ALLAH Nay Iss Kay Supard Kar Rakha Tha Ye Sadion
Say Yun Hee Sab Kuch Kiye Jaa Raha Tha Qun Kay Uss Kay AQAA MALIK Kull Jahan Nay
Isay Hukam De Rakha Tha Bas Koi Nakhra Koi Naaz Kuch Bee Tu Naa Tha Thanda
Meetha Pani Trout Jesee Fish Us Kay Elawa Qimty Pathar Sona Na Janay Kia Kia
Apnay Daman Mein Chupah Rakha Tha Jabh ALLAH Ka Hukam Milta Wo Oughal Deta Par
Koi Nakhra Koi Ghror Nahi Wah Kia Baat Hay Sher Darya Ki,,,,,Mein Uss Kaa Hukam
Baja Lata Hun Jis Kay Hukam Ko Koi Taal Nahi Sakta... Bas Mein Uss Ki Razaa Kay
Bina Khush Reh Nahi Sakta.Dhoop Mein Darya Ki Mojh Ki Jhagh Bhut Chamak Rahee
Thee Pani Mein Paray Pathar Pani Se Cher Khani Kar Rahay Thay Magar Pani Inn
Rukawaton Se Beniaaz Apna Raasta Khud Bana Raha Tha Uss Ki Chaal Or Simat Mein
Koi Farq Nahi Aa Raha Tha ,,,Mujhay Milon Dour Jana Hay Apnay MALIK Ka Hukam
Baja Lana Hay.Silk Road Par Tha Kot Se Shuro Hunay Wala Ye Darya Ap Kay Sath
Sath Rehta Hay Bas Kabi Daien Kabi Baein Huta Rehta Hay Kabi Aap Itni Bulandee
Par Chalay Jatein Hein Kay Ye Darya Chotay Say Paharee Nalay Ki Tra Nazar Ata
Hay Darya Mein Uss Waqt Bhut Delfraib Rangh Hutay Hein Jabh Kici Glacier Kaa
Pani Darya Mein Shamil Huta Hay Bhut Dour Tak Blue Or Gray Water Sath Sath Dour
Tak 2 Colors Combination Create Kartay Hain Siah Ki Ankh Asay Manazir Ki Talash
Mein Rehty Hay Nature Jaha Bee Apna Chahra Dekhaaty Hay Wo Iss Ko Apnay Dil Or
Ankh Mein Mehfooz Kar Laita Hay Or Baar Baar Uss Ko Yaad Karta Hay ,,,Har Anmol
Cheese Ghazab Huty Hay,,,,Par Ye Roz Roz Kaha Huty Hay.Bahi Niaz Ko Koi Trout Tu
Nahi Kha Gai,,Kalim Bore Huna Shuro Hu Gia Tha Niaz Ki Talash ,,,,,,,Humara Next
Project Humaray Samnay Tha(Jaaree Hay)