Saffar Shumaal Kay(epiesode 48)

(hukhan, karachi)

NIAZ Ek Garee Kay Neechay Say Daryaaft Hu Gia Pochnay Par Pata Chala Kay Uss Kay Aday Kay Driver Ki Garee Kay Breaks Mein Koi Maslaa Tha Jis Ko Wo Durast Kar Raha Tha Hum Nay Kaha Bahi Bata Tu Dena Thaa Wo Bola Mein Nay Ap Loghun Kay Pas Police Ko Dekh Lia Tha Mein Nay Socha Kia Pata Mein Waha Gia Tu Police Walay Kharcha Pani Manghein Gay Tu Mein Iss Bahi Ki Garee Kay Neechay A Gia Hum Uss Ki Baat Sun Kar Muskara Diye Kalim Bola Apni Garee Ki Breaks Bee Dekh Laina Meri Manghater Ko Meri Bahut Fiqar Rehty Hay ,,,Sohail Jhat Se Bola Kahein Ye Ek Baar Fer Bach Kay Karachi Naa Pohanch Jaye Uss Kaa Dil Tot Jaye Ga Navid Bola Nahi Yaar Ubh Humaree Bahbhee Asee Bee Khushnaseeb Nahi Hum Sab Zor Say Hansay Kalim Ka Munh Sanjeeda Sa Hu Gia Hum Bolay Yaar Asa Mazaaq Nahi Sohail Bola Sahi Hay Bahi Kuch Raat Kay Liye Bacha Rkhu Werna Bore Hun Gay Kalim Bahi Humaree Baton Ko Serious Na Laina ,,Han Dil Par Lay Laina Navid Bola Niaz Nay Garee Start Kar Dee Hum Sab Nay Tha Kot Ko Alvida Kaha Garee Bazaar Mein Se Guzarty Hui Darya Kay Qareeb Hu Gai Ubh Uss Kaa Shore Bhut Zayda Sunaiee De Rha Tha Garee Kabi Oper Kabi Neechay Ki Parwaaz Pr Shuro Hu Gai Niaz Ki Nazrein Sarak Par Thein Ubh Darya Dour Hu Raha Tha Nechay Ubh Kici Nalay Ki Tra Lagnay Laga Tha Hum Nay Raat Besham Mn Guzarany Ka Plan Bnaya Tha Besham Jis Ka Bazaar Kafee Bara Tha Or 24 Ghantay Khulla Rehta Tha Logh Ass Paas Kay Elaqon Say Yahan Shopping Karnay Atay Thay Niaz Mahiye Bhool Gia Tha Uss Ki Thakan Tha Kot Kay Rest Kay Baad Kafee Kam Hu Gai Thee Magar Pher Bee Usay Araam Ki Zarorat Thee Qun Kay Sab Say Zayda Bojh Garee Kay Baad Niaz Par Hee Tha Niaz Nay Cigret Sulghaa Li Thee Uss Ki Nazrein Anay Walay More Par Markoooz Thein Samnay Blind Turn Tha Right Side Par Pahaar Or Left Par Darya Tha Humein Left Side Say Mourna Tha Samnay Say Teiz Raftaar Pasenger Garee Lahraaty Hui Guzree ,,, Bahi Is Pasengers Wali Garion Par Kabi Nahi Baithna Chaiye Bhut Careless Drive Hay Pata Nhi Bnda Baithay Garee Par Or Na Jnay Ankh Kaha Khulay Navid Nay Apnay Khof Ko Naseehat Mein Badal Dia(Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1254143 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.