Beshaam Ki Subah Ubh Apna
Thanda Pan Khuu Rahee Thee Bazaar Bee Masroof Huta Jaa Raha Tha School Kay
Headmaster Saab Nay Chai Banwaa Kar Dee Uss Kaa Kehna Thaa Ubh Tak Barish Nahi
Hui Kaie Din Pehlay Hui Thee Acha Hay Aap Land Slidings Se Bach Jao Gay Safar
Asaan Or Jaldee Hu Jaye Ga Uss Ny Karachi Kay Halaath Par Baat Kee Fer Kaha Ubh
Tu Saraa Mulk Hi Agh Or Khoon Ki Nazar Huta Jaa Rahay Hay Naa Hee Security
Agencies Ko Koi Fiqar Hay Naa Hee Awaam Apnay Andaaz Badalnay Ko Tyaar Hay Baqi
Poilticians Se Tu Kabi Koi Achee Umeed Hee Nahi Rakhee Ju Qomein Rangh Nasal
Zubaan Mein Taqseem Hu Jaein Tuu Dushman Ki Zarorat Nahi Rehty Ek Kalmay Kay
Maan Nay Walay Ajh Asay Bartaow Karein Gay Kabi Asa Gumaan Mein Bee Naa Tha
Hukmaraan Duniya Ki Raftaar Ko Nahi Dekh Paa Rahay Naa Hee Samajh Paa Rahay Hein
Mehanghaiee Loghun Ka Living Standard Oper Jaa Raha Hay Yahan Kici Ko Kici Bee
Qisam Ki Koi Fiqar Nahi Kay Hum Anay Walay Challenges Se Kasay Nabard Azmaa Hun
Gay Koi Ye Nahi Sochta Jis Qom Ko Taleem Ki Fiqar Nahi Uss Nay Duniya Kaa
Muqaabla Dour Ki Baat Ye Duniya Se Hamqalaam Bee Naa Hu Sakay Gein Naa Hee
Ankhon Mein Ankhein Daal Kar Baat Kar Sakein Gay Taaleem,,Sawaree.Ghar.Sehat,
Funoon E Latifa Gharz Har Cheese Mein Hum Duniya Se Kosson Meel Dour Hu
Chuckaein Hain Bas Loghun Kaa Ek Hajoom Hay Ju Sota Jaghta Khata Peeta Hay Fer
Miti Mein Dafan Hu Jata Hay Behoshi Beghanghee Ki Sadiaan Jeenay Sey Behtar Hay
Kay Hum Chand Pal Hosh Kay Jee Lein,,,,Janay Kab Hosh Mein Ayein Gay
Hum,,,,Shabu Roz Yuni Hee Guzar Naa Jaein Ubh(Jaaree Hay)