Saffar Shumaal Kay(Epiesode 57)
(hukhan, karachi)
pakistani future at 16000feet
Headmaster Saab Bhut Emotional
Hu Gaye Un Kay Andar Ek Sacha Pakistani Tha Ju Rangh Nasal Zubaan Se Oper Hu Kar
Sochta Tha Wo Bhut Udaas Or Maayus Thay Humaray Kal Se Apnay Kal Se Un Ko Anay
Walay Waqt Mein Bhut Se Khouf Nazar Aa Rahay Thay Wo Apni Nasal Kay Kal Ko
Mehfooz Dekhna Chahtay Thay Un Kay Khiyal Se Pakistan Uss Raftaar Sey Agay Nahi
Bar Raha Tha Or Baqiya Duniya Se Hum Ek Sadi Pechay Chal Rahay Thay Par Hum Nay
Uthtay Huay Kaha Sir Jabh Tak Ek Bacha Bee Par Raha Hay Ek Ustaad Bee Uss Ko
Para Raha Hay Hum Mayus Nahi Na Hee Haar Manay Gay Hum Ye Humaray Kal Ka
Shandaar Ajh Hay Mein Janta Hun Baher Bhut Se Bachay Pher Rahay Hein Kaam Kar
Rahay Hein Par Yahan Ka Ek Bacha Hee Un Sab Ko Manzil Tak Pahnacha De Ga Han Bas
Paon Zakhmee Hu Jaein Gay Jisam Thak Jaien Gay Par Jabh Tak Rooh Zakhmee Nahi
Samjh Lijiye Hum Bhut Peechay Nahi Rahaein Gay ,,Ek Din Zror Chand Par Jaein Gay
Borhiya Ka Charkha Chalaein Gay.School Se Baher Anay Kay Baad Niaz Ki Yaad Ayee
Niaz Garee Kay Pass Mojudh Tha Abhee Kaam Baqi Tha Uss Kay Baad Us Nay Garee Ka
Trial Bee Laina Tha Beshaam Ki Valeey Ki Sargoshee Yaad A Gai Hum Iss Ki Bahoun
Mein Thay Beshaam Nay Humein Apna Lia Tha Hum Bee Uss Kay Hu Chukay Thay Mosam
Garam Huna Shuro Hu Gia Tha Sorajh Chachu Ubh Zara Garam Hu Raha Tha Or Humein
Bee Garam Kar Raha Tha Paseena Ana Shuro Hu Gia Tha Sohail Ko Kahein Se Paan Mil
Gaye Thay Uss Ka Mood Paan Kha Kay Kafee Khushgawaar Hu Gia Tha Wo Navid Ko
Gardan Se Dabochay Khura Tha Navid Zor Zor Se Hans Raha Tha Dono Nay Mil Kay
Kalim Ki Traf Eshara Kia Or Fer Zor Se Hansnay Lagay Hum Dour Niaz K Pas Se Ya
Sab Manzar Dekh Rahay Thay Un Ko Khush Dekh Kar Hum Muskara Diya Na Hum Un Kay
Buzargh Thay Naa Wo Humaray Bachay Thay Fer Bee Un Ko Khush Dekh Kar Ek Anjaani
See Khushee Hu Rahee Thee(Jaaree Hay)