Dasu Bahut Garam Hu Raha Tha
Bazaar Mein Kafee Rush Tha Niaz Charpaaiee Par Laita Hua Tha Cigrete Petay Huay
Kici Soch Mein Gumm Tha,,Niaz Kon Yaad Aa Rahee Hay ,,,Humaree Baat Sun Kay Uss
Ki Qameez Jalnay Se Bach Gai Werna Cigrete Ki Raakh Uss Kay Kapron Par Ger Jaaty
...Niaz Apnay Baray Mein Soch Raha Hay Kay Razia Ghundon Mein Phans Gai Kalim
Apni Par Utar Aya Sohail Nay Ankh Maari Yaar Ye Razia Kon Hay Hum Nay Navid Ki
Tarf Dekha Or Apna Farz Pora Kia,,,,,Bahi Jis Ki Zulf Saanp Ki Tra Bal Khatee
Hay Ju Haftay Mein Ek Dafa Munh Or Sar Kay Baal Dhuty Hay Jis Kay Anay Se Hu
Gham Janay Par Logh Shaadiyany Bajaein Sohail Bola Naa Yaar Apni Razia Itni Bee
Gandhee Nahi Bahi Kuch Bee Hu Nahataa Zaror Hay Majal Hay 7 Se 8 Waan Din Ju
Hunay De Niaz Bola Bahi 2 Ghantay Or Lagh Janay Yahan Se Summar Nala Kay Liye
Fer Navid Ki Taraf Dekh Kar Bola Yaar Navid Bahi Jabh Koi Tangh Saa Mor Ata Hay
Ounchaiee Par Tu Garee Kay Tyre Bhut Dekhta Hay Pata Nahi Qun,,,,,,,Oh Bahi Tu
Bee Tuu Bilkul Garee Kinaray Par Lay Jata Hay Thora Raod Par Raha Kar Navid Nay
Bhut Hee Sanjheedegi Se Kaha Tu Niaz Bola Bahi Jaaan Jabh Kinaray Par Sarak Toty
Hu Gee Tu Gaaree Kay Tyre Ko Tu Bachaown Ga Na,,,Han Beshak Hum Neechay Kahien
Darya Mein Paye Jaein Or Waha Se Seeda Darya Darya Hutay Huay Kotree Sind Se
Milein Hay Na,,,,,Niaz Navid Ki Baat Par Zor Se Hansa Uth Kay Baith Gia ,,Meree
Taraf Ankh Maar Kay Bola Bahi Itna Khouf Qun Hay Ap Ko Asay Konsay Gunah Kiye
Huay Hein Kay Allah Kay Pass Janay Kaa Itna Dar ,,Akher Ek Din Tu Jana Hee
Hay,,,,Bahi Iss Ko Swiming Nahi Aty Fer Pani Tu Iss Ko Garam Bee Bura Laghta Ye
Tu Freezing Pani Hay Fer Iss Ki Waja Se Pani Ki Mout Bee Hu Sakty Hay,,Sohail
Nay Hmaray Dil Ki Baat Keh Dee Navid Nay Kha Janay Wali Nazron Se Sab Ko Dekha
Bas Ghoortay Rehna Kabi Time Nikaal Kar Nahana Mat Sohail Kaha Uss Kay Robh Mein
Anay Wala Tha(Jaaree Hay)