Saffar Shumaal Kay(Epiesode 58)
(hukhan, karachi)
pak china freezing borders
Beshaam Ko Alivida Kehtay Huay
Dopehar Hu Gai Humaray Demagh Mein Master Saab Kay Tafukraat Ghoom Rahay Thay
Har Pakistani Kay Dil Mein Apnay Mulk Kay Liye Kitna Dard Tha Fer Bee Hum Iss
Miti Kaa Haq Ada Qun Nahi Kar Paa Rahay Thay Shaied Humaray Qol Or Amal Mein
Bhut Tazaadh Tha Ya Hum Dekhaway Ki Muhabat Mein Griftaar Thay,,,Mehboob Ko
Yaqeen Tu Delaa Diya Khoon Se Khat Likh Kar,,,,Janay Becharay Kabootar Ka Kia
Qasoor Tha Ju Halaal Hua Humaree Muhbat Ki Sachaaiee Mein.Khan Saab Aghla Paraow
Kaha Ka Hay Navid Ki Awaaz Nay Humein Garee Mein Wapis Pohancha Dia Hum Nay Jabh
Us Ki Taraf Sawalia Nazron Se Dekha Tu Navid Bola Khan Saab Abhee Tak Master
Saab Kay Paas Hu Hum Muskara Diye Ye Hum Sey Bhut Zayda Waaqif Thaa Boss Mera
Khiyaal Hay Kay Dasu Putan Se Hutay Huay Summar Nala Pohanch Kay Faisla Kerein
Gay Kalim Foran Beech Mein Koooda Bahi Ubh Tu Late Hu Hee Gein Hein Tuu Summar
Nalay Ki Ek Raat Tu Banty Hay Bas Fajar Mein Hee Chore Dein Gay ,,Nashtay Kay
Baad Sohail Nay Bee Apni Masoom See Choonch(Peak) Ka Estemaal Kiya ,,,,Done
,Navid Nay Fasla Suna Diya Niaz Ju Kay Garee Kay Kaam Se Thoraa Thak Or Paseenay
Sey Bhar Gia Tha Uss Nay Bee Iss Faislay Ki Taeed Ki .Darya E Sind Humaray Right
Ki Janib Sath Sath Dour Raha Tha Yahan Iss Ka Paat Kafee Bara Tha Iss Liye Pani
Qadray Sakooon Mein Tha Garee Nay Oper Ki Janib Charna Shuro Kar Dia Tha Sarak
Kafee Tangh Or Toty Photy Thee Garee Ko Zor Se Magar Gaarhun Se Abcha Kar
Chalana Tha Niaz Ki Poree Tuwajhu Sarak Or Samnay Se Anay Wali Trafic Par Thee
Samanay Sey Anay Wali Gaariaan Bhut Zor Sey Haran Dety Aa Rahee Thein Driver
Rasta Denay Par Ek Dosray Ka Hath Utha Kar Shukeria Bee Ada Kartay Thay Ju Bhut
Bhulla Laghta Tha(Jaaree Hay)