DASU Ki Sab Ounchee Peak Khyber
Peak Humaray Samnay Thee Dhoop Mein Uss Ki Maghroor Peak Bilkul Wazih Thee Hum
Dasu Mein Darya E Sind Kay Oper Banay Huay Bridge Par Khuray Huay Iss Kay
Nizaray Mein Mehav Thay Kay Loading Truck Nay Zor Daar Haran Se Humein Agay Se
Hut Janay Ko Kaha Truck Par Bhut Shandaar Painting Bani Hui Thee Hiran Kay
Pechay Sher Dourta Hua Nazar Aa Raha Tha,,Kamzoor Ko Tou Dourna Hee Parta Hay
Agar Aap Kamzoor Hein Ya Future Mein Kamzoor Hee Rehnay Ka Plan Hay Tu Meri
Mukhlisana Advise Hay Kay Kam Se Kam Tanghun Ko Strong Kijiye Bhagh Nay Kay Kaam
Tu Aein Gee Kam Se Kam,,,,,,,,,,,Kuch Pal Jeewan Or Bar Jaye Ga ,,,Jabh Tu Dour
Kay Zalim Se Dour Hu Jaye Ga.Khyber Peak Kay Samnay Arafat Hotel Tha Jis Mein
Hum Kaiee Dafa Ruk Chukay Thay Iss Line Mein Kafee Hotel Hein Sab Ki Backside
Par Darya E Sind Mojudh Hay Shaam Mein Darya Kay Kinaray Chai Ya Subah Sawray
Nashta Bhut Maza Karta Hay Ya Raat Ko Hotel Ki Chath Par Darya Kay Samnay Baith
Kay Dinner Kijiye Us Kay Baad Chai Gup Shup Apnay Aap Mein Ek Choty See Picnic
Hay Ju Umar Bhar Aap Kay Khuhsorat Lamhon Ki Diary Mein Mehfooz Hu Jaty Hay
Wesay Humein Dasu Mein Continental Hotel Pasand Aya Ju Humray Budget Kay Ain
Mutabiq Tha Magar Khana Bahut Mehngha Tha Mujh Sa Insaan Uss Hotel Mein 3 Kay
Bjaye Serf 1 Time Hee Khaa Sakta Hay Baqi Kay Pasay Hi Nahi Bachtay Iss Liye Aap
Khaiye Zaroor Magar Khanay Kay Time 30 Mnt Ki Walk Kar Kay Main Dasu Bazaar Ki
Yatra Kijiye.Bazaar Bee Acha Khasa Hay Zarorat Ki Har Cheese Khanay Ki Har
Cheese Medcine Petrol Diesel Sab Mil Jata Hay Kohistaan Ka Hisa Hunay Ki Waja Se
Logh Bee Paharon Ki Tra Dry Or Tough Hein Iss Liye Loghun Se Bee Itna Hee Faasla
Rakhiye Jitna Ap Se Pahaar Dour Hein(Jaaree Hay)