Saffar shumaal kay(epiesode 62)

(hukhan, karachi)

Har Bastee Abbad Rahay Teri,,,Har Ghataa Mein Barsaat Hu Teri,,,,, Miti Naram See Poshaak Hu Teri,,,,Khait Khalyaan Pehchaan Hun Teri,,,, Jahan Bee Jaon Bas Har Soo Khushbuu Hu Teri,,,,,Mray Watan Ounchee Aan O Shaan Hu Teri,,,,,,Bas Mray ALLAH Ye Dua Or Eltejhaa Hay Meri.Dasu Kay Hotel Mein Baithay Hum Nay Diary Kay Warq Ultay Tu Situation Kay Hisabh Se Apnay Chand Lafz Dekhai De Diye Hum Par Kay Muskaranay Lagay Niaz Samjha Thakan Nay Humaray Demagh Par Asar Dal Diya Hay,,Khan Saab Sab Kher Hay Na Kis Ki Yaad Muskarahat Lay Ayee Ap Kay Chahray Par ,,,,,Hum Bolay Maa Ki,,,,,,,Ye Miti Bee Tu Maa Hee Hay Isi Miti Kay Pass Maa Be Hay Wo Hee ALLAH Kay Hukam Se Ubh Maa Kaa Khiyal Rakhay Ge Hum Zabardasty Muskara Diye Niaz Kuch Bol Nahi Paya Bas Khamoshi Se Humein Dekhnay Laga Or Hum Nay Munh Dosree Janib Kar Liya Navid Kalim Or Sohail Samnay Say Atay Dekhaiee Diye Hotel Walay Nay Chai Kay Cup Samnay Rakh Diye ,,,,,,,,Ek Lamhay Mein Simat Aya Sadion Ka Safar,,Maa Ka Khiyal Asa Hee Tha,,,,,,,,,,,,,,Pehron Mn Sochta Rehta Hun Tujhay,,,Meri Har Saans Teri Waja Se Hu Jasay.Chai Mazedaar Nahi Thee Fer Bee Achee Lagh Rahee Thee Boss Chai Karachi Ki Sab Se Best Sohail Ny Faisla Suna Diya,,Mansehra Ki Chai Bhool Gaye Kalim Nay Uss Ko Yaad Delaya Hm Nay Bee Kalim Ki Taeed Ki Yaar Kici Zamanay Mein Karchi City Station Ki Chai Ka Tu Jawabh Hee Nahi Tha Iss Time Chai Ka Aalmi Muqabla Cher Chucka Tha Koi Bee Apni Chai Ki Haar Kay Mood Mein Nahi Tha Sohail Teri Baat Hum Maan Latay Hein Bas Ye Bata De Wo Larki Karachi Kay Station Se Kaha Bahgh Gai,,,,,Sohail Nay Navid Ko Asay Dekha Jasay Ek Zamnay Mein Mushraf Sahib Ko Wajhpai Sahib Nay Dekha Tha ,,Teri Behan Thee Tujhay Zayda Pata Hu Ga Sohail Ek Dam Se Kantuta Badmash Ban Gia,Mray Khiyal Hay Uss Nay Suicide Kar Li Hu Gee Kalim Bola Us Nay Humaray Qahkahay Kay Liye Humaree Taraf Dekha Magar Soahail Kay Tewaar Dekh Kar Humein Itni Jurat Nahi Hui,,,,,,,,,,Hum Nay Ahista Se Kaha Boss Raat 9 Bajay Bathroom Mein Hans Lun Ga Humaree Baat Par Sohail Nay Zor Daar Kahkaha Lgaya ,,,,,,,,,,,,,Khan Saab Ap Bee Dartay Hu,,,,Kabi Kabi For The Change Werna Nahi,,,,, Hum Nay Kaha Or Muskara Diye(Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1254499 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.