Hijab Aur Islam
(AREEBA SAEED, CHISHTIAN)
Assalam O Alaikum, Meray Azeez
Behaan Bhaioo , Aj Mei Jiss Topic Per Baat Karou Gi Woh Hijab Aur Islam Hai.Aaj
Kal Kay Iss Modern Aur Jadeed Technology Kay Dour Mei Aurat Boht Zaida Modern Ho
Gi Hai Yani Kay Agar Woh Dupta Ley Tou Woh Apnay Ap Ko Boht Unfit ,
Uncomfortable Feel Karti Hai. Aur Mostly Aurtoun Kay Dilon Mei Yeh Khaal Paida
Hota Hai Agar Dupta Nahi Ley Gey Tou Kia Ho Ga. Kia Hoga???????????????? Un Kay
Nazdiq Yeh Important Baat Nahi Hai Magar Logo Kay Samnay, Society, Friends,
Wagira Kay Samnay Eik Azad Khail Aur Boht Moder Aurat Banay Mei Kamayb Ho Jati
Hai, Aur Woh Nahi Jaanti Kay Us Kay Badlay Mei Unoo Ney :"Jhanum " Karid Li Hai.
Yeh Har Kisi Ka Personal Maala Hota Hai Magar Hum Jasy Loogo Ka Faraz Hota Hai
Hum Unko Guide Karay . Mei Yaha Per Kuch Hijab Kay Baaray Mei Batoun Gi. Hijab
Ka Matlab Hai Parda , Naqab Key Hain. Iss Ka Matlab Namehram Sey Parda Karna ,
Apney App Ko Daapna . Kyon Kay Kha Jata Hai Kay Hamary Pyaare Nabi Hazrat
Muhammad Saw Ney Farmaya ," Agar Kisi Auraat Ka Baal Bi Ghair Maard Ko Nazar Aa
Jaye Tou Pas Aurat Per Jhanum Ki Aag Wajib Hou Jati Hai ".Yeh Uss Waqat Ki Baat
Hai Jab Zamna Jhaliat Mei Parday Ka Koi Naam Aur Nishan Na Tha. Jab Uss Dour Ki
Aurat Bagair Parday Ki Ghomthi Thi . Aur Ghair Mard Ussay Dehk Tha Tha. Aur
Surataazab Mei Wazat Ki Ghai Iss Baat Ki " Aur Zamna Jhaliat Ki Tarah Zeenat Na
Dehka Thi Phiro Balkay Apnay Gharoun Mei Thairi Raho" Quran Majeed Mei Hijab
Ka Laafz 7( Saath) Martaba Aya Hai. Islam Mei Aurat Ka Aurat Aur Maard Ka Maard
Say Bi Parda Hai. Hum Musalman Hain Aur Parda Karna Islami Shanahkt Aur
Musalmano Ka Tariqa Hai. Parday Kay Baaray Mei Itni Taqid Islam Aur Quran Mei
Hai Tou Bagair Parday Ki Aurat Kis Muqaam Per Hai ????????? Magrib Qoum Kay Hum
Taaur Tariqay Q Istamal Karr Rahay Hain?????????? Yeh Sochnay Ka Muqam Hamra
Nahi Balkay Un Aurtoun Ka Hai Jo Ajj Bi Iss Article Ko Parh Nay Kay Bawajoud
Bagair Duptay Kay Hai.Bus Akhai Mei Itna Khana Chaoun Gi. "Iman Wali Aurat Ka
Asal Zewar Sona , Chaandi Nahi Balkayay Hiya Sur Parda Hai"