Tash Ki Baazi Jumh Chuckee Thee
Niaz Ju Kuch Deir Pehlay Neend Kay Liye Maraa Jaa Raha Tha Asay Patay Par Pata
Phankh Raha Tha Jasay Sara Din Araam Or Sakoon Mein Guzara Tha Hum Sabh Samar
Nalay Ki Toofaani Mojhun Kay Oper Wooden Tarace Par Apnay Beds Kay Sath Paray
Huay Thay Sar Par Khulla Hua Asmaan Or Neechay Nalaa Hum Par Meharbaan Tha
Sohail Ko Zayda Intrest Nahi Tha Magar Baqi Teeno Khilaare Bhut Purjosh Thay
Sath Walay Kici Kamray Say Ek Sahib Nay Sohail Ki Jagah Lay Lee Thee Ubh Wo Bee
Hamaray Sath Nalay Kay Nizaray Mein Hisaydaar Ban Giya. Samnay Resham Kay Bahi
Ya Uncle Keh Lay Yeni Pahaar Thay Jabh Bee In Uncles Ko Kici Baat Par Ghusa Ata
Tha Wo Resham Par Baras Partay Thay Or Resham Sab Ka Ana Jana Bandh Kar Dety Hay
.Anay Janay Wali Gaarion Kay Driver Ek Dosray Sey Rastay Kay Mutaliq Maloomaat
Laitay Rehtay Hein Jis Se Wo Apni Raftaar Or Time Ko Apus Mein Balance Kar
Laitay Hein Jahan Land Slide Hu Driver Sarak Par Kamm Or Oper Pahaar Se Luraktay
Pathron Ko Zayda Dekhtay Hein Kay Kahein Koi Tofaani Raftaar Ka Chota Sa Pathar
Beee Kahien Un Kay Sheshay Ko Tehas Nehas Naa Kar Dey Ye Bee Resham Kay Safar
Kay Adaabh Hein Jisay App Kahien Par Tu Nahi Saktay Magar Safar Kay Douraan
Zaror Seeekh Saktay Hein.Pahaar Bhut Khamosh Thay Shaied Anay Walay Mehmano Ko
Khofzada Na Karna Chahtay Hun Hotel Ki Baree See Parking Mein Garion Busson
Trucks Ki Khasee Tadaad Moujdh Thee Shaeron Say Itni Dour Asee Ronaq Kaa Apnay
Ac Walon Kamron Mein Sonay Walay Tasuwar Hee Na Kar Saktay Hun Gay Metro Life Ki
Roshnion Mein Basnay Wala Koi Bee Shakhs Bee Iss Ronaq Ka Idea Nahi Kar Sakta Hu
Ga Khanay Say Lay Kar Qudrat Apni Tamaam Tar Hasahar Saamanion Kay Sath Moujdh
Hay. Serf Ek Samar Nalay Nay Iss Jagah Ko Bhut Hee Qimty Bana Dia Tha Kici Bee
Siah Kay Liye Samar Nala Meharbaan Dost Ki Tarah Tha Ju Iss Ki Jaadu Bhuray
Sadaa Sey Husan Mein Khuu Kar Apni Ek Raat Iss Kay Naam Kar Deta Hay Pahaar
Sabza Darya Pani Kia Nahi Yahan Sab Kuch Tu Hay Kici Family Ki Garee Khurabh Hu
Gai Thee Wo Bee Iss Hotel Mein Panah Lainay Aa Gaye Thay Unn Kay Bachon Ko Ye
Hotel Bilkul Bee Pasand Nahii Aa Raha Tha Baba Ye Tu Koi Driver Hotel Hay Bachay
Ki Baat Sun Kar Hum Sab Zor Se Hans Paray(Jaaree Hay)