Saffar Shumaal Kay(Episode 70)

(hukhan, karachi)

summar nala on its peak

Hum Sab Bachay Ki Baat Sey Bahut Mehzooz Huay Humein Bachon Kay Shaoor Par Bhut Khushee Hui Wo Safaree Zubaan Or Esharabandion Sey Waqif Hu Rahay Thay Or Ubh Iss Kamray Mein Raat Guzaarnay Kay Baad Jasa Desh Wesa Behes Kay Maaqolay Par Amal Karnay Walay Thay Samnay Raat Kay Iss Pehar Kuch Logh Samar Nalay Kay Etraaf Ghoom Rahay Thay Jis Mein Ortein Bachay Sab Shamil Thay Hum Un Kay Stemna Ko Dil Hee Dil Mein Daad Denay Lagay Khan Saab Itni Dour Dour Se Ghortay Hu Mard Banu Navid Nay Humaree Dukhtee Ragh Ko Chera Hum Nay Kaha Bahi Tash Ki Bazi Ka Kiya Hua Navid Nay Ek Labnha Kash Lay Kar Dhuwan Humray Munh Pr Chore Dia Hum Pechay Nahi Hut Saktay Thay Qun Kay Hum Nalay Sey Iss Tra Humaghoosh Hu Saktay Thay Iss Liye Hum Nay Gold Leaf Ko Bardasht Kar Liya ,,Navid Nay Ankh Maar Kay Kaha Kaha Ap Maila Dekh Rahay Hu Humein Tash Mein Laga Rakha Hay ,,Yaar Sab Chore Raat Kaa Pehar Dekh Or In Ki Dilchasbee Dekh,,, Kia Asa Kuch,Lagh Raha Hay Kay Ye Logh Sara Din Safar Kar Kay Yahan Pohanchay Hein,,Navid Bola Khan Saab Choriye Aao Zara Chai Ki Phakee Martay Hein Hum Bolay Chai Ki Phaki Ye Kia,,,,,Khan Saab Jesee Chai Wo Bana Raha Hay Na Chai Kam Hakeemi Dawa Zayda Laghty Hay,,,,,,,,,Hum Nay Iss Kay Kandhay Par Zor Daar Hath Mara A Ja Meri Jaan Wahein Se Asee Chai Pilwaon Ga Kay Tujhay Yaqeen Hi Nahi Aye Ga Kay Ye Is Hotel Ki Chai Hay Hum Serhion Sey Utar Kar Chai Hotel Mein Aa Gaye Jahan Chai Ban Rahee Thee Mein Sedha Andar Gia Or Punjabi Mein Iss Se Kaha Kay Hum Abotabad Se Hein Or Dost Karachi Sey Ayein Hein Or Hum Nay Aap Kay Hathon Ki Chai Ki Bahut Tareef Ki Hay Bas Humaree Izat Or Paghree Ap Kay Qadmon Mein Hay Dialogue Bolnay Or Likhnay Mein Hum Normal Se Zara Zayda Hein Uss Kay 10 Minute Baad Navid Asee Chai Kay Mazay Lay Raha Tha Kay Wo Mansehra Ki Chai Ko Bhool Gia.Raat Apnay Akhree Pehron Mein Thee Hum Lakree Kay Farsh Par Ju Mila Nechay Becha Kar Or Oper Ourh Kay So Gaye Hawa Or Nalay Ki Sansanahat Khabh Mein Bee Sunaiee Dey Rahee Thee(Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1254648 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.