Mujhay Shahrukh Khan Sai Nafrat Hai

(Iqra Rasheed, )

Aik Waqt Tha Jab Bacha Bolna Seekhta Tha Tou Maa Baap Ko Fakhar Hota Tha Kai In Ki Awllad Kalma Suna Rhe Hai.Laikin Ab Waqt Bilkul Mukhtalif Aur Alag Hogaya Hai.Aaj Bacha Mataktay Hai Aur Beehoda Aur Kufar Say Bharay Gaanay Gaati Hai Tou Walidain Fakhar Mahsoos Kartay Hai Yehi Wajah His Kai Moashray Mai Aae Din Baitay Nai Maa Ko,Maa Nae Ulad Ko Qatal Kardia Yehi Sunnay Ko Milta Hai.

Mairay Pyaray Bhan Bhaiou Aik Waqt Tha Kai Mujhay Bhi Sharukh Khan Buhat Pasand Tha .Buhat Sai Movies Mai Khud Us Ki Daikha Karti Thi .Larkin Aaj Mai Allah Ki Bargah Mai Touba Kerti Ho Kai Ae Allah Mujhay Pasand Bhi Tha You Koun?????Jaantay Hai Kai Is Nafrat Ki Wajah Kya Hai???

Us Kai Kufar Bharay Gaanoun Per Raqas .

Shahrukh Khan Nae Un Gaanoun Per Raqs Kiya Hai Jis Ko Gaana Tou Dour Ki Baat Us Ka Kaan Mai Parahna Bhi Gunah Hai.

Emaan Sai Bari Doulat Is Dunya Mai Kuch Bhi Nahi Hai. Is Ka Gaana Tujh Mai Rab Dikhta Hai Astagfurallah .Yeh Gaanay Sun Aur Gaa Ker Kya Hum Mukamal Aqeed A Touheed Per Qaim Rah Saktay Hai??.Yeh Gana Nahi Hai Sarasar Shirk Hai.Aur Jab Is Behoda Artist Ko Chotay Bachay Gaatay Hai Aur Suntay Hai Tou Phir Kya Hum Hum Guman Ker Sakhtay Hai Kai Is Muashray Mai Bhi Shah Wali,Mujadid Sani Aur Iqbal Jaisa Koe Paida Hoskta Hai.

Sharukh Khan Sahab Ka Aik Aur Gaana Marjaani Jo Bilu Barber,Ka Hai Us Mai Musalmao Kai Aqeeda E Risalat Ki Shadeed Bai Adabi Ki Gae Hai.Aur Hum Musalmaano Ko Is Hadees Ko Yaad Rakhna Chahiae Kai.

Beeshak Tum Mai Sai Koe Sakhs Us Waqt Tak Momin Nahi Hoskta Jab Tak Woh Apni Jaan,Maal Aur Awlaad Sai Barh Ker Allah Aur Us Kai Rasool Said Muhabbat Na Karay.

Muslamano Film Aur Gaanay Suntay Waqt Kam Az Kam Itna Tou Zaroor Socho Kai Allah Na Keray Aisay Kufarna Alfaz Sun Ker Ya Gaa Ker Kahi Aap Kai Emaan Ko Nuksaan Na Pochay.

Mairi Hukumat Sai Guzarish Hai Kai Jis Tarha,Youtube Per Pabandi Lagadi Jaati Hai Isi Tarha Aisay Her Baihoda Actor Ko Bh Pakistan Mai Promote Na Kara Jae .Aur Aisay Gaano Ko Block Kiya Jae Jis Mai Islam Kai Khilaaf Zarra Barabar Zahar Ya Shirk Bhara Ho.

iqra rasheed
About the Author: iqra rasheed Read More Articles by iqra rasheed: 14 Articles with 24536 views I am student of Pharm-D .and want to become a professional writer in future.. View More