Kitaboun Ko Sar Per Rakhna Aur Jotiya Paoun Mai Phayhanna

(Iqra Rasheed, Lahore)

Kitaboun Ko Sar Per Rakhna Aur Jotiya Paoun Mai Phayhanna Hi Darhaqiqat Kamiyabi Hai

Aaj Mujhay Apnay Course Ki Aam Kitabain Darkaar Thi.Jab Mai Apnay Elaqay Mai Dhondnay Nikli Tou Dour Mujhay Aik Kitaboun Ka Thehla Nazar Aaya Jahan Per Purani Kitabain Tou Moujod Thi Laikin Jo Mujhay Chahiae Thi Woh Nahi Mili.Khair Jab Wapis Aanay Lagi Tou Rastay Mai Aik Gali Nazar Aae Jahan Per Har Tarha Kai Aur Her Naap Kai Jotay Moujood Thay.Koe Bhi Purana Jota Moujood Nahi Thai Tamam Jotay Nae Thae.

Wapsi Per Mairay Zahan Mai Sirf Aik Hi Baat Aae Kai Aaj Jo Jahalat Humaray Mulk Mai Phail Rahi Hai Us Ki Aham Wajah Shaid Yehi Hai Kai Aaj Is Muashwary Mai Aae Din Yeh Sunnay Ko Milta Hai Kai Awlad Nae Maa Ko Qatal Kardia,Baap Nae Beti Ko Maar Diya.Q Doctor Masiha Kai Bajae Janwar Ka Roop Ikhtiyaar Kerlia Hai.Wajah Yeh Hai Kai Is Qoum Ko Kitaboun Sai Itna Dour Ker Diya Hai Kai Kitabain Urdu Bazar Kai Ilawa Kahi Milti Hi Nahi Hai,Kitaboun Kai Liae Sirf Urdu Bazar Aur Jotoun Kai Liae Har Ilaqa Aur Har Bazaar.

Akhir Mai Sirf Itna Kahna Chahti Ho Kai Jahan Jotoun Ko Shishou Kai Darwazain Mai Rakha Jae Aur Kitabain Thehlay Per Milay Tou Waha Lougo Ko Derhaqiqat Jotoun Ki Zaroorat Sar Per Hai Takkay Jotoun Ki Chout Sai Aankh Khulay Aur Jaan Pae Kai Shishoun Ki Almariya Kitaboun Kai Liae Hoti Hai Aur Jotay Paao Mai Phana Kertay Hai Aur Jo Aisa Nahi Kertay Tou Woh Sada Zamanay Ki Jotiya Uthaya Kartay Hai .
 

iqra rasheed
About the Author: iqra rasheed Read More Articles by iqra rasheed: 14 Articles with 24508 views I am student of Pharm-D .and want to become a professional writer in future.. View More