Saffar Shumaal Kay(Episode 77)

(hukhan, karachi)

Ek Taraf Dour Kahien Neechay Nangha Parbat Kay Glacier Kay Panio Ki Awaaz Kaano Mein Musalsal Aa Rahee Thee Jis Sey Humein Ye Message Mil Raha Tha Kay Nangha Parbat Ki Hum Par Musalsal Nazar Hay Or Hum Uss Wadion Mein Hee Hein Uss Ki Pohanch Say Dour Nahi Iss Time Nangha Parbat Ek Taqatwar Hukmaraan Ki Tra Tha Jis Se Bach Kay Ya Uss Ki Ankh Say Bach Kar Siah Uss Kuch Gumaan Bee Na Kar Sakta .Dosree Taraf Kabi Kabi Kuch Abadee Kay Asaar Nazar Anay Laghtay Magar Tatuu Say Pehlay Koi Qabil E Zikar Abadee Naa Thee Driver Nay Jeep Rok Kar Sarak Ko Ya Yun Keh Lijiye Kay Raastay Ko Saaf Rakhnay Walay Sey Shinaee Zubaan Mein Koi Baat Ki Or Fer Navid Se Kuch Cigeret Lay Kar Un Kay Hawalay Kar Diye Hum Andaza Nahi Laga Sakay Kay Navid Kay Chahray Kay Expressions Kasay Thay Magar Humein Pora Andaza Tha Kay Iss Time Uss Ki Feelings Kia Hun Gee Albata Sohail Ki Muskarahat Bata Rahee Thee Kay Agh Lagh Chuckee Hay Or Fire Bergade Ki Zarorat Hay.Chashmay Ka Pani Oper Ki Janib Say Aa Raha Tha Or Sarak Ko Geela Kar Raha Tha Sorajh Bee Ahista Ahista Heat Bara Raha Tha Hum Garee Se Utar Kay Jahan Say Pani Ki Saaf Shafaaf Dhaar Aa Rahee Thee Hum Ny Neechay Botal Laga Dee. Jeep Ounchai Ki Waja Say Roki Nahi Gai Thee Ahista Ahista Pehlay Gear Mein Chaltee Rahee Hum Dour Kay Fer Se Garee Mein Sawaar Hu Gaye.Nangha Parbat Kay Daman Mein Kabi Kabi Resham Bee Nazar Aa Jaty Thee Jasay Koi Nagin Kali Siah Nagin Hu Fer Jeep Kay Mourtay Hee Wo Nagin Ghaieb Hu Jaty Driver Ki Meharbani Thee Kay Wo Resham Kay Nazar Atay Hee Jeep Slow Kar Kay Humein Resham Kaa Deedaar Karwa Deta.Din Bee Agay Barnay Kay Sath Sath Garam Bee Hu Raha Tha Cap Or Tee Shirt Bhut Kaam Aa Rahay Thay Chashmay Ka Pani Bhut Thanda Tha Minerals Sath Mein Free Thay.Jeep Kay Jhatkay Kabi Teiz Or Kabi Slow Hu Jatay Thay Magar Yaad Nahi Aaa Raha Kay Kabi Mukamil Tour Khatam Bee Huay Thay Ya Nahi Hum Nay Ek Chotay Say Behtay Huay Saaf Shafaaf Kisam Kay Nalay Ko Cross Kia Tu Samnay Abadee Kay Asaar Nazar Anay Lagay(Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1254784 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.