Saffar Shumaal Kay(Episode 78)

(hukhan, karachi)

Hum Tatu Sey Qareeb Hu Rahay Thay Tatu Sey Qurbat Ka Matlab Tha Kay Hum 40 Loghun Kay Qatil Pahar Se Qareeb Hu Rahay Thay Beshak Duniya Mein Iss Ka 9 Waan Number Hay Magar Hum Tu Dosree Pakistani Peak Se Ankhein Milanay Walay Thay Hum Nay 10 827 Feet Par Fairy Meadows Pohanchna Tha Ye Nangha Parbat Kay Shumaal Mein Humaree Pana Gah Thee Humein Fairymeadows Kay Kehway Ki Khushbu Mehsso Hunay Lagee Thee Jis Ka Ziqar Hum Bhut Baar Sun Chuckay Thay Ubh Wo Kehwaa Humaray Maiday Mein Jald Hee Pohachnay Wala Tha Kher ....Toot Na Jaein Sapnay Mein Darta Hun,,,Kab Sey Sapnon Mein Kahwa Piaa Karta Hun.Jeep Ek Chotay Se Qasbay Par Aa Kar Ruk Gai Samnay Ek Lakree(Woooden) Kay Makaan Say Ju 2 Kamron Par Mushtamil Tha Dhuwaan Saa Uth Raha Tha Humaree 6th Sense Nay Chai Ki Khabar Dee Baqree Kay Dodh Ki Chai Jeep Say Mukhtaser Sa Samaan Nikaalnay Kay Baad Hum Sab Driver Sey Galay Milay Or Wapsee Ka Din Or Time Fix Kia Wo Uss Makaan Numa Hotel Walay Kay Pass Lay Gia Or Usay Shinaee Mein Kuch Kaha Ju Kay Humara Khiyal Hay Kay Kuch Yun Tha Mehmaan Bhut Dor Sey Ayein Hein Achee See Chai Bana Du Or Pasay Bee Munasib Lay Laina Humein Akhree Jumla Bhut Pasand Aya Samnay Ek Chashma Sa Tha Ju Kay Talaabh Ki Tra Say Ban Gia Tha Driver Humein Us Par Lay Gia Salphur Water Ki Waja Say Dhuwan Sa Uth Raha Tha Pani Tu Boil Hu Raha Tha Driver Bola Abee Is Mein Anda Dalo Pakh Jaye Ga,,,,Chal Bahi Navid Jaldee Sey Anda De Time Kam Hay,,,,,,,Kalim Bola ,,Bahi Poray 4 Dena Sohail Nay Bee Foran Apna Hisa Dala ,,,,,,,,,,,,Hum Mein Sholay Ka Jay Fer Se Jagh Gia,,Bhut Mushkil Hay,,Kab Se Isay Koi Murggha Nahi Mila,,,,,,,,,,Pehli Dafa Jay Tu Nay Baq Baq Nahi Ki Sach Bola Wo Bee Medically,,,,,Sohail Khatarnaak Rastay Mein Bach Kay Tatu Pohanch Janay Ki Waja Say Bhut Khush Tha.Agar Ap Ko Skin Ka Beemaari Hay Tu Ye Pani Bhut Acha Hay,,Daad Khujli Kharish Walay Pani Mein Dubhki Laga Lein Navid Nay Kalim Ko Foran Mashwara De Dia ,,Nahi Kar Yaar Fer Iss Talaabh Ki Kharish Kon Dour Karay Ga,,,Sohail Nay 1 Or Sixer Mara(Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1254797 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.