SAFFAR SHUMAAL KAY(EPISODE 81)

(hukhan, karachi)

Hum Sab Nay Paeron Ko Talcum Powder Say Bhar Denay Kay Baad Jutay Pehan Liye.Sab Say Agay Navid Nay March Shuro Ki Chaltay Chaltay Ek Muqaami Bacha Bee Humaray Sath Hu Gia Uss Nay Humein Fairy Meadows Kay Ek Cottage Kay Baray Mein Barief Karna Shuro Kar Dia Jis Se Humein Pata Chal Gia Kay Ye Bacha Humara Guide Tu Hay Hee Uss Cottage Walay Jis Kaa Naam Baad Mein Mehboob Pata Chala Ye Mehboob Ka Sale Agent Bee Hay Bacha Bamushkil 12 Ya 13 Baras Kaa Hu Ga Hum Nay Kaha School Partay Hu Us Nay Asbaat Mein Sar Hilaya Humein Etmennan Sa Hua Hum Bolay Bachay Tu School Jaa Rahay Thay Chutiaan Tu Hein Nahi Fer Wo Iss Time Yahan Kia Kar Raha Hay Uss Nay Bataya Kay Uss Kaa School Yahan Say Dourr Chilas Mein Hay Or Uss Kaa Ghar Bee Waheen Hay Wo Apnay Maa Baap Kay Sath Season Mein Kaam Karnay Aya Hay Wo Janwaaron Ki Dekh Bhaal Or Mehboob Kay Liye Kaam Karta Hay Us Kaa Walid Bee Ye Hee Kaam Karta Hay Un Kay Pass Yahan Kici Or Ki Baqriaan Or Murghian Hein Jin Kay Anday Or Gosht Baree Kamaiee Kaa Zariya Hein Siahon Ki Tadaad Par Un Ki Economy Kaa Inhesaar Hay Khas Kar Agar Foreighners Aa Jaein Tu Un Ka Season Bhut Acha Lagh Jata Hay Jis Se Wo Anaajh Lay Latay Hein Or Pansaree Walay Ka Udhar Bee Chuktta Hu Jata Hay Uss Munay Say Guide Ki Ye Batein Sun Kar Hum Heeraan Reh Gaye Jis Umar Mein Bhut Sey Bachon Ki Khopree Mein Serf Chocolate Or Cartoon Ya Super Heroes Kay Naam Hi Hutay Hein Ye Bacha Zendeghi Ki Poree Kahani Ko Samajh Chuckaa Tha Ubh Ye Acha Tha Ya Buraa Magar Ye Sab Samajh Laina Uss Ki Majhboori Hi Thee Or Wo Apnay Sab Problems Kay Sath Hii Jee Raha Thaa.Humaray Sath Sath Chashmay ,Haryaali,Khubhsorat Manazer Bee Chal Rahay Thay Ek Chashmay Sey Hum Apni Botal Bhurnay Lagay Tu Munay Guide Nay Mana Kar Dia Or Kaha Zara Agay Ek Or Chashma Anay Wala Hay Uss Kaa Pani Bhut Thanda Or Meetha Hay Hum Uss Ki Baat Sun Kar Agay Bar Gaye Kalim Jis Ko Piaas Lagh Rahee Thee Uss Ko Ye Baat Pasand Nahi Aye Magar Achay Pani Kay Lalach Nay Usay Agay Barnay Par Majhboor Kar Dia(Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1254849 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.