Saffar Shumaal Kay(Episode 80)

(hukhan, karachi)

Jeep Baien Mourtay Hee Humaree Nazron Say Ughal Hu Gai Driver Nay Mourtay Huay Side Glass Say Hum Par Nazar Daali Or Hath Hawa Mein Lehraa Diya Hum Bhut See Baqrion Kay Becchon Beech Tatu Ki Kachee Sarak Par Kharay Jeep Ko Wapis Jata Huay Dekh Rahay Thay Ek Sacha Pakistani Mazdoor Humaree Nazron Sey Ujhal Hu Gia Ubh Tu Halatth Asay Hein Kay Pakistan Mein Hee Agar Kici Sachay Pakistani Say Mulaaqaat Hu Jaye Tu Dil Mahino Khush Rehta Hay.Hum Charon Glacier Kay Pani Kay Kinaray Pathar Par Baith Gaye Sorajh Zara Farm Mein Aya Hua Tha Hum Nay Ubh Agay Ka Safar Paidal Karna Tha Or Almost 1100 Feet Height Tak Jana Tha Humaray Andazay Kay Mutabiq Humein Safar Bhut Hee Araam Araam Say Karna Tha Qun Kay Oxygen Ki Kami Humaray Lungs Ko Ghutan (Suffocate) Kar Sakty Thee Hum Iss Sufocation Say Bachna Chahtay Thay Pani Ki Khali Small Bottels Ko Hum Nay Bags Say Nikaal Kar Hathon Mein Pakar Lia Jutay Utaar Kar Paon Ko Thnday Pani Sey Dhuya Jis Say Sakoon Ka Ehsaas Hua Paon Dry Hunay Kay Baad Hum Sab Nay Talcum Powder Say Paon Ko Bhar Lia Jis Say Sath Sath Paon Ka Masajh Bee Hu Gia Chai Or Biscuit Pait Mein Kahein Gum Hu Gaye Thay Paidal Lamba Sa March Kerna Tha Zayda Khaa Bee Nahi Saktay Thay.Sohail Hasb E Adat Pathar Pani Mein Phenk Raha Tha Bahi Zara Dehaan Say Asa Na Hu Kay Kici Pathar Kay Pechay Koi Halka Hu Raha Hu ,,,Navid Ki Iss Baat Par Sab Zor Sey Hans Diye ,,,Magar Yaar Ye Tu Humara Washroom Hay Kalim Nay Haq E Malkiyat Jitaya ,,Nahi Bahi Ye Qudarty Washroom Sab Kaa Hi Huta Hay Pehlay Aiye Pehlay Paiyee ,,Bas Jis Jagah Pehlay Wardaat Naa Hui Hu Wahan Hee Wardaat Karni Chaiye Navid Ki Iss Baat Par Sab Zor Sey Hans Diye,,,,Yaar Wesay Hay Ajeeb See Khufnaak See Jagah Sohail Nay Charon Taraf Ki Khamoshi Or Sakoon Ko Khuff Ka Naam De Diya ,,,,Wesay Yahan Bee Koi Predator Aa Sakta Hay,,,Han Magar Pora Filmi Unit Lana Hu Ga Iss Kay Liye Humaray Andar Sholay Kay Jay Nay Sohail Kay Khuf Ko Muskhurahat Mein Tabdeel Kar Diya,,Wesay Bee Kalim Ko Hutay Huay Kici Predator Ki Kiya Majaal Ju Hum Say Koi Chaher Chahaar Karay(Jaaree Hay)A

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1254838 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.