Saffar Shumaal Kay(Episode 83)

(hukhan, karachi)

Sorajh Ki Kernay Baqaida Ubh Tez Shuaaein Ban Gein Thy Paseenay Mein Izafa Huta Ja Raha Tha Hum 1 Ghnaty Se Paidal Chal Rahay Thay Or Abhi Fairy Meadows Ka Koi Ata Pata Nahi Tha Nangha Parbat Samnay Aa Kar Fer Se Ghaieb Hu Jata Tha,,,Teri Har Ada Janay Qun Itni Piari Hay,,,Har Chese Hu Rahee Tujh Par Sadqay Waari Hay.Sorajh Chachu Say Chuphnay Kay Liye Hum Charon Ek Chahmay Kay Kinaray Darkhton Kay Jhund Mein Ghaieb Hu Gaye Sab Nay Sakoon Se Chashmay Kay Thanday Meethay Pani Ko Enjoy Karna Shuro Kar Dia Kalim Humaray Pechay Jhund Mein Ghaieb Hu Gia Darakhton Kay Saye Mein Baithnay Kay Baad Garmi Ka Ehsaas Ghaieb Hu Gia Or Humein Sardee See Laghnay Lagee.Khan Saab Kitna Safar Baqi Hay,,,,,,,,,Navid Kay Sawaal Par Hum Nay Beyzaar Sey Lehjhay Mein Kaha Bahi Jis Speed Se Hum Chal Rahay Hein Laghta Hay Raat Rastay Mein Hi Hu Jani Hay,,,,,,,Yaar Tuu Khudh Tu Kehta Hay Kay Hum Nay Konsa Office Jaa Rahay Hain Safar Or Nizaron Par Concentrate Karo,,,Sohail Nay Humein Yaad Delaya ,,,,,,,,Or Kia Mazay Mazay Se Chalo Kia Jaldi Hay Kalim Darkhton Mein Se Namoodaar Hu Gia ,Navid Nay Hans Kar Kaha Bahhi Itnay Jaldi Wapsee Kher Hay Na,,,,,,,Yaar Yahan Tu Na Banda Na Bandar,,,Sohail Ko Tanhaiee Buree Laghnay Lagi,,,,Yaar Phool Kasay Ajeeeb Or Multy Color Hein Navid Ki Baat Par Kalim Nay Asbaat Mein Sar Hila Kar Navid Ki Taeed Ki,,,,,,,,Nature On Its Best,,,Hum Nay Khud Kalaami Ki,,,Hum Nay Bag Se Biscuit Nikaal Kar Sab Ghareebon Mein Taqseem Kiye Wah Yaar Dil Kar Raha Tha Kay Kuch Khaaya Jaye Sohail Ki Ankhon Mein Ek Chamak A Gai...Kalim Kay Munh Mein Biscuit Asay Ghaieb Hu Rahay Thay Jasay Shadi Shuda Loghun Kay Naseeb Se Khushian Ghaieb Hu Jaty Hein.,,,,Mein Dekhun Ya Na Dekhun Meri Ankh Mein Pher Bee Bass Jao Gay,,Nanghaparbat Nay Kuch Asa Jadu Saa Kar Dia Tha Abhee Serf Uss Ki Peak Hi Nazar Aty Thi Or Ghaeib Hu Jaty Thee.Hum Nay Jutay Fer Sey Pehna Shuro Kar Diye Yaar Itni Zabardast Chahoon Se Nikalnay Ko Dil Nahi Kar Raha Navid Nay Bag Sar Kay Neechay Rakh Kar Full Time Enjoy Karna Shuro Kar Diya(Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1204449 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.