SAFFAR SHUMAAL KAY(EPISODE 84)

(hukhan, karachi)

Samnay Hee Baraf Se Dhaki Peak Humein Khush Ameed Kah Rhee Thee Magar Humein 4 Hrs Kay Track Nay Adh Moha Sa Kar Dia Tha Jisam Kay Har Hisay Se Haye Haye Ki Awazein Nikal Rahee Thee Abhee Hum Behosh Hunay Ka Soch Hee Rahay Thay Kay Usi Bachay Nay Humein Khushamdeed Kaha Humein Ubh Wo Dhundla Dhundla Saa Nazar A Raha Tha Magar Hum Nay Uss Kay Pechay Bhut Say Colorfull Tent Lagay Huay Dekh Liye Ye Hee Humaree Manzil Thee Qun Kay Musalsal Safar Or Fer Iss Walk Or Track Nay Humein Zara Sa Kamzoor Kar Dia Tha Hum Nay Kici Adventure Kay Bjaye Hosh Se Kaam Lia Or Green Grass Ko Apna Bed Bana Lia Or Ankehin Band Kar Lein Thanda Mosam Naram Ghaas Humray Bag Pilow Ban Kay Hum Ko Hosh Sey Beghana Saa Kar Diya Or Hum Nay Neend Ki Pehli Wadee Mein Apna Qadam Rakh Dia Shaam Kay Time Jabh Din Raat Se Humaghoosh Hunay Wala Tha Hum Jutay Utaar Kay So Gaye Kano Mein Hansnay Ki Awazon Se Humaree Ankh Khul Gai Humaree Party Kici Maqaami Ajhnabi Se Hans Hans Kay Baatein Kar Rahay Thay Un Kay Hath Mein Khushnuma Chai Kay Cup Thay Jis Mein Siaahi Maiel Koi Liquid Tha Hum Nay Botal Kay Pani Se Kuli Ki Or Apna Cup Hath Mein Thaam Lia Humaray Jutay Samnay Mojudh Thay Pehla Ghont Laitay Hee Humaree Ankhein Khul Gein Or Hum Pori Tara Se Hosh Mein Aa Gaye Dubhlay Patlay Magar Chareeray Badan Kay 29 Sala Shaks Jis Kaa Naam Mehboob Tha Ye Mehrabani Usi Ki Thee ,,Bahut Hee Lajawbh Shakhsiat Thee Piar Karnay Wala Jis Mein Buisnes Kay Bajaye Mehmaan Nawazi Thi Jis Kay Dil Mein Ek Mehmaan Kay Liye Sab Kuch Tha Bhut Hee Zabardast Admi Nikla ,,,,,Fairy Meadows Ka Kehwa Chai Nahi Tha Magar Ek Painkiller Say Kam Nahi Tha Jis Nay Humaray Jisam Ko Bhut Se Dardun Se Nijaat Dela Dee Hum Pher Se Hashaah Bashaah Se Hu Gaye Mehboob Nay Kaha Ap Nay Ye Pee Lia Hay Samjhu Ap Nay Dispreen Paracetamol Brufin Sab Lay Lee,,,,,,,,,,Hum Uss Ki Baat Kay Qaiel Hu Gaye Iss Kahway Mein Ek Ajeeb See Khushbu Or Taqat Thee Hum Saree Thakaan Bhool Gaye (Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1254873 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.