SAFFAR SHUMAAL KAY(EPISODE 92)

(hukhan, karachi)

Paseena Erhee See Choty Tak Bah Raha Tha Saans Asay Phhool Rahee Thee Jasay Hum Nay 100 Meter Sprint Mein Hisa Lia Hu Sab Sey Buree Halat Kaleem Ki Thee Navid Apnay Halkay Pan Ki Waja Say Kafee Had Tak Pursakoon Tha Hum Nay Saaans Wapis Anay Kay Baad,,Humaray Sholay Kay Jay Nay Mahool Ko Zara Sa Kam Sanjheeda Karnay Ki Koshish Ki ,,,Ebtadaye Safar Hay Rota Hy Kia Jabh Jaien Gay Zara Or Oper Fer Dekhiye Huta Hay Kia.....Yaar Ap Loghu Ko Base Camp Nazar Aa Raha Hay Kia ,,,,Sohail Nay Bola Yaar Din Deharay Chand Sitaray Phool Shabnam Sab Nazar Aa Rahay Hein Base Camp Tu Koi Cheese Hi Nahi,,,Theek Hay Dekh Lia Wapis Chalo ,,,,Kalim Nay Apni Aap Beety Suna Daali,,,,Yaar Koi Seeedha Rasta Nahi Hay ,,,Khan Saab ,,Kis Kisam Ka Seedha Rasta Bahi ,,,Jasay Apnay Karachi Mein Shara E Fasial Hay,,,,Sohail Nay Bola Or Zor Zor Se Hansnay Lagha Yaar Iss Ko Height Fobia Hunay Laga Hay Navid Nay Sohail Ki Beemaari Ka Raaz Fash Kar Dia,,,Errrr Bahi Yahan Fobiaz Kay Elawa Hay Hi Kia ,,,,Janwar Fobia ,,Mehanghaiee Fobia,,,,Sardee Fobia,,,,Glacier Fobia Sohail Nay Trush Lahjhay Mein Kaha Logh Vication Guzartay Hein Fun Kay Liye Koi Ronaq Shonaq Kay Liye Achay Achay Phool Se Chahray Dekhnay Kay Liye Khan Saab Humein Iss Veeranay Mein Lay Aya Sewaye ,,,Sab Kuch Hay Magar Koi Fozia ,,Sobia Nahi,,,,Sohail Ki Thakan Sar Char Kay Bol Rahee Thee ,,,Hum Subah 7 Bjay Kay Nangha Par Bat Kay Base Camp Kay Liye Niklay Huay Thay Patli Patli Paghdandion Par Chal Chal Kay Ankles Or Toes Dukh Rahay Thay Manzil Hamoz Dor Ast Wala Mamla Tha,,,Garmi Bee Zroron Par Thee Pani Khatam Hu Chuka Tha Ubh Pata Nahi Tha Kay Pani Milay Ga Ya Nahi Khushk Paharee Silsila Base Camp Ki Taraf Ja Raha Tha Magar Faza Mein Sohni See Mehak Thee Samnay Killer Mountain Ghusay Se Humaree Taraf Dekh Raha Tha Qun Kay Hum Uss Ki Shayaan E Shaan Tayaree Kar Kay Nahi Aye Thay Humara Jisam Humaray Plans Se Mutabiqat Nahi Rkhta Tha Uss Par Sorajh Chachuu Alagh Se Hum Par Nazrein Garay Huay Tha Glacier Mein Gernay Walay Pathar Or Miti Khufnaak Kisam Ki Awazein Paida Kar Rahay Thay(Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1254919 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.