Zara Suchain Samjhain Or Aamal Karain

(Hina Nizam, Karachi)

Kyun Aj Ka Insan Itna Khud Gharz Ho Gaya He! Kyun Har Insan Sirf Apny Mafad K Liye Suchta He Kyun Log Na Insafian Or Dhoka Deny Lagy Hain Q? Ye Haq Inhy Kis Ne Dia ALLAH Ne To Nahi Dia Q Vo Dosrun Ko Takelf Deny Say Pehly Ye Nahi Suchta K Dil Vo B Rakhta He Dard Usay B Huta He Aj Us K Sath Ap Jo Kar Rahay Hain Vo Kal Ap K Sath B Ho Sakta He Ham Apny Muslman Behn Bhayun Ko Haq Q Nahi Dilvaty Hain Q Un K Sath Na Insafian Kar Rahay Hain Har Insan Sirf Apna Hi Suchta He Vo Dosrun K Liy Q Nahi Suchta Vo Sirf Apna Bhala Q Chahta He Vo Sirf Yehi Q Chahta K Bas Hamary Sath Hi Acha Ho Baqi Log Bhar Main Jain Q Ham Kisi K Dard Ko Nahi Samjhty Q Hamary Andar Itni Behisi A Gai He Mana K Qayamat Qareb He Magar Qayamat Aa To Nahi Gai Jo Ham Ne Aik Dosry Ka Sath Chor Dia.

Ham Hamesha Yehi Q Suchty Hain K Us Ne Hamary Sath Acha Nahi Kia Lehaza Ham B Us K Sath Acha Nahi Karain Gay Q? Yad Rakhye Pathar Ka Javab Pathar Say Nahi Muhabbat Say Do Taky Samny Vala Khud Hi Sharminda Ho Jay Or Jo Bura Kar Lia He Us Ka Amal Us K Sath He Or Ap Ka Amal Ap K Sath He Q Ham Aik Musalman Ho Kar Aik ALLAH K Bandy Ho Kar Adam Ki Ulad Ho Kar Aik Hi Miti Sy Banay Hunay K Bavajod Aik Dosry Main Farq Paida Kartay Hain Q Hamray Andar Itna Takabur A Jata He Agar Hamry Pas Zara Pesa A Jaye To Yad Rakhain K Denay Vali Zat Aik He Chahy Kam Day Ya Ziada Day Ye Ap Ka Naseb He Kisi Ko Dunya Kisi Ko Akhrat Mian Milta He Vo Day Sakta He To Chen B Sakta He ! Or Log Hasad Q Kartay Hain.......... Q Chahty Hain K Vo Chez Us K Pas Nahi He To Dosry Say B Chin Jay Yad Rakhain Lenay Valay Sy Deny Valay Ki Zat Bari He Sabar Karain Or Shukar Karain Apnun Say Nichay Dekhain Khud Hi Sabar A Jaaye Ga Or Kuch Log Aisay B Dikhtay Hain Jo Kisi Ko Taklef Or Dukh Puhncha Kar Itna Khush Hutay Hain Q? Shayad Jahalat Ya Deen Say Dori Ya Phir Ye Samajh Lena K Dunya Un K Liye Sb Kuch He... Akhrat Ko Bhol Gaye Hain Q Ye Nahi Suchtay K Un Ko Vapis Khuda K Pas Jana He Kia Mun Dikhain Gay Khuda Ko! Agar Aisa Samajh Lain To Q Karain Itni Na Samjh Vali Batain Sanbhal Jain Khuda K Liyee ! Mat Anay Dain Aisi Nobat K ALLAH Ka Azab Ham Par Nazil Ho To Hm Ibrat Hasil Karain Vaqt He Sambhal Jain ALLAH Sy Mafi Mang Lain Vo Rahim ,Kareem, Ghafor He Vo Zaror Maaf Kary Ga Vo Ap Ki Zaror Suny Ga Agar App Sachy Dil Sy Toba Karain.

Is Ko Parhain Samjhye Or Khuda K Liye Is Par Amal Karain Bura Zaror Laga Hoga App Lugun Ko Is Me Main B Shamil Hun K ALLAH Ham Sab Ko Hidayat De K ALLAH Sab Ko Aqal-E-Saleem Aata Farmay K Ham Aqal K Nakhun Pakrain Koi Thokar Khany Sy Pehly Hi Hm Sambhal Jain.

Hina Nizam
About the Author: Hina Nizam Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.