Khushi Insaan Ki Zindaigi Ka
Aik Buhat Khaas Hissa Hoti Hai Aur Is Ka Ahsaas Ap Ko Tub Hota Hai Jub Yai Ap K
Paas Nahi Hoti Insaan Aik Hi Rastey Ka Mosafir Ban K Nahi Jee Sakta Ager Us Ko
Kaha Jae K Tum Ko Sirf Dukh Ki Duniya Mai Rahna Ha Tu Ya B Namumkin Hai Us Ka
Dam Ghotney Lagey Ga Aur Ager Wo Sirf Khushi Ka Maza Chakhta Rahey Tu Wo Kabi B
Un Logo Ki Takleef Ka Andaza Nahi Ker Pai Ga Jo Ai Din Takleef Mai Mubtla Rahtey
Ha So ALLAH Ne Dukh Aur Sukh Ki Jo Amazish Banai Hai Wo Mukhtlif Rang Akhtiyaar
Ker K Hamari Life Mai Atti Hai.
Jub Hum Loog Dukh Mai Hotey Hain Tu Buhat Masoom Sa Roop Akhtiyaar Ker Laitey
Hain Khud Ko Bara Mazloom Show Kerwatey Hain Aur Jub Us Dukh K Dino K Baad
Khushi Hamari Life Main Atti Hai Bari Kushish Aur Mushkil Sai Tu Hum Un Logo Ka
Ahsaas Kerna Choor Daitey Hain Jo Takleef Main Hotey Hain Insaan Tu Wohi Hai Na
Jo Apney Dukh Ko Yaad Rakhey Aur Kisi Ki Dillazari Na Karey K Aj Ya Takleef Main
Hai Tu Kal Mai B Tu Issi Jaga Tha Na Tu Us Se Payar Sai Baat Karey.
Yai Zarury Nahi K Khushi Sirf Un Logo K Ghar Atti Hai Jin K Paas Buhat Dolat Hai
Paisa Ha Ya Jin K Ghar Buhat Bare Hain Kabi Kabi Sub Hotey Howe B Hum Khushi K
Ahsaas Se Mahroom Rah Jatey Hai Aur Kabi Jhonprey Mai Rahney Waley 2 Time Ka
Khana Mushkil Sai Khaney Waley Khushi K Ahsaas Aur Us Ki Tarung Ko Pa Jatey Hain
Aur Yahi Zindaigi Hai Aur Us K Khail Ya Rung.
Main B Khushi Ho Her Dam Hasti Khilkhalati Zindaigi Sai Bharpoor Mare Aas Paas
Rahney Waley Loog Kahtey Hain K Muj Sai Un Ki Khushi Hai Main Hansti Ho Tu Wo B
Hasntey Hain Mai Udaas Ho Tu Wo B Udaas Ho Jaytay Hain Tu Hum Sub Ko Apni Lives
Ko Yunhi Banana Chahye K Hum Sai Dosrey Khush Rahey. K Is Waqt Jub Her Taraf
Pareshaniyan Hain Hum Ko Apney Aur Dosro K Lie Khushi Talash Karni Chahyey Na K
Aik Dosrey Ki Takleef Ka Bais Ban Jaen Tu Kaisa Laga Ap Ko Khushi Sai Milna Aur
Us Ki Bateen Sonna?