Khawahishaat

(Khushi, Lahore)

Khawahishaat Kabhi Na Khatam Honey Wala Aik La Mahdood Rasta Hai Jis Per Hum Loog To Sari Zindagi Chaltey Rahtey Hain Phir B Hamen Lagta Hai K Hamara Rasta Abi Baqi Hai Hamari Aik Arzoo Ki Takmeel Ho Tu Hum Dosri Khawahish K Hasool K Lie Lug Jatey Hain.

Ager Khawahish Musbat Ho Tu Achi Baat Hai K Hum Kisi Aim Ko Kisi Khawahish Ko Paney K Lie Kushish Kartey Hain Hum Chahtey Hain K Hum Is Cheez Ko Pa Lay Tu Hamari Life Mai Acha Efect Parey Ga Jaise Zamana Talab Ilmi Mai Bacha Sochta Hai K Main Ne Bara Ho K Dr Banna Hai Aur Us Khawahish Ki Takmeel K Lie Wo Ziyada Se Ziyada Mahnat Kerta Hai Aur Us Aim Ko Paney K Lie Her Mumkin Tagodo Kerta Hai. Ager Khawahish Musbat Hai Tu Achi Baat Hai.

Lakin Hum Daikhtey Hain K Khawahishaat Mukhtalif Rang Akhtiyaar Ker K Hamari Lifes Mai Ronama Hoti Hain Hum Khawahish Kartey Hain K Kaash Hamarey Pas Aik Motor Cycle Ho Aur Jub Wo Mil Jati Hai Tu Phir Hum Car Ki Taraf Daikhney Lug Jatey Hain Jub Usse Pa Laitey Hain Tu Hamari Nighah Ka Markuz Bari Gari Le Laiti Hai K Kaash Mere Paas Ye Wali Gari Hoti Yai Aik Choti C Misaal Hai Isi Tara Hamari Life Mai Buhat C Wishes Hoti Hain Barey Aur Achey Ghar Ki,Achi Jagha Per Ho, Bari Gari Ho, Mulazim Ho, Zawer Ho.

In Sub Cheezo Ki Khawahish Rakhna Insaan Ka Right Hai Lakin Ager Hum In K Hasool K Lie Achey Aur Borey Main Tameez Ka Faraq Mitta Dai Tu Waha Hamari Khawahishat Ghalat Rang Akhtiyar Ker Laiti Hain Aur Hum Ghalat Kartey Kartey Sahi Aur Huq Baat Se Apni Pahchaan Ganwa Daitey Hain.

Kisi B Cheez Ki Tamana Kerna Ghalat Nahi Lakin Pehley Hamen Jo Hamarey Paas Hai Us Per Saber Aur Shuker Ki Adat Dailni Chahye K Her Haal Main ALLAH Ka Shuker Karney Waley ALLAH Ki Raza Ko Pa Jatey Hain Aur Ager Hum Us Ki Raza Ko Pa Jaen Tu Is Se Bari Kamyabi Aur Kia Ho Sakti Hai So Hamen Apni Khawahishaat Ka Pandara Itna Wasee Nahi Bana Lana Chahye K Hamari Rozmarha Ki Zaindgi Jahanam Ban K Rah Jae Bal K Ager Koi Wish Hai Tu Us Ko ALLAH Ki Marzi K Mutabiq Painey Ki Kushish Karni Chahye InshALLAH Ager Hum Us Ki Khushi K Lie Apni Khawahishaat Ka Gala Ghoont Dain Tu Waha Us K Paas Us Ka Bahtreen Ajer Ho Ga Aur Hum Ko Hamari Talab Sai Berh Ker Miley Ga InshALLAH.

Khushi
About the Author: Khushi Read More Articles by Khushi: 3 Articles with 5738 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.