Haan Woh Hey

(Chiraghdeen, Karachi)

Hazrat Imam Raazi (Rehmatullah Alaih) Ne Allah Rabbul Izzat Key Wujood Per 100 Dalilain Qaim Keen Aur Unhein Iss Per Fakhr Tha Keh Mera Eeman Sab Sey Ziadah Mazboot Hey Kiyoon Keh Mein Ney Eeman Per 100 Dalelain Qaim Ki Hein Aur Jin Hazraat Ko Itni Dalilein Yaad Na Hotein Unhein Apney Sey Kamter Samajhtey They.

Ek Dafa Imam Raazi (Reh. Alaih) Ek Khait Sey Guzer Rahey They Keh Ek Kisan Sey Mulaqaat Huwi, Wo Bechara Unparh Tha, Imam Sahib Ney Uss Sey Puchha Keh Tum Kon Ho? Tau Uss Ney Jawab Dia Keh Musalman Hoon, Aap Ney Phir Uss Sey Puchha Keh Musalman Kis Ko Kehtey Hein? Tau Uss Kisaan Ney Jawab Dia Keh, Jo Yeh Kahey Keh Allah Ek Hey, Wohi Hamara Mabood-E-Haqeeqi Aur Ibadat Key Laiq Hey; Aur Hazrat Muhammad Mustafa (Sallal Lahu Alaihe Wasallam) Allah Pak Key Berhaq Aur Aakhri Nabi Aur Rasool Hein; Aur Aakhirat Haq Hey. Imam Sahib Ne Phir Puchha Keh Tumharey Musalman Honey Ki Daleel Kia Hey Aur Allah Key Wujood Ki Daleel Kia Hey? Kisan Ko Yeh Baat Sunker Ghussa Agaya Aur Danda Lekar Imam Sahib K Pechhey Dorra Keh Abhi Batata Hoon Keh Allah Pak Key Wujood Ki Daleel Kia Hey…..Sun Mein Ney Allah Rabbul Izzat Ko Daleel Sey Nahi Balkeh Dil Key Yaqeen Sey Mana Hey.

Faeda:
Iss Kaenaat Ka Ek Ek Zarrah Allah Ta’ala Key Wujood Per Dalalat Ker Raha Hey, Yeh Aasman Per Chamakney Wala Suraj, Jagmag Kertey Sitarey, Bal Khati Nadiyan, Chehektey Huwe Parinde, Lehlahata Huwa Sabza, Ras Sey Bharey Phal, Khiley Huwey Phool, Aur Iss Puri Kaenaat Ki Hama Aqsaam Ki Ranginiyan Bazaban-E-Haal Keh Rahi Hein Keh Hamara Wujood Kisi Sane’y And Khaliq (Bananey Wala) Ka Pata De Raha Hey, Baqol; Muzaffar Warsi:  Koi Tau Hey Jo Nizaam-E-Hasti Chala Raha Hey…Wohi Khuda Hey… Wohi Khuda Hey… Wohi Khuda Hey. Dikhai Bhi Jo Na Dey Nazer Bhi Jo Aaraha Hey, Wohi Khuda Hey, Wohi Dkhuda Hey, Wohi Khuda Hey.

Ey Insaan Zara Ghor Tau Ker Keh Kia Yeh Baghair Sutoono Ka Aasman Khud Bakhud Wujood Mein Aagaya? Kia Mosam Khud Bakhud Tabdeel Hotey Hein? Kia Yeh Barey Barey Samander, Derya Apney Aap Wujood Mein Aagaey? Kia Inko Bananey Wala Koi Nahi…………Nahi Yeh Aap Ki Bhool Hey, Inn Sab Ko Bananey Wala Hey Aur Wohi Hey JO KHALIQ-E-KAENAAT HEY Yani ALLAH TABARAK WA TA’ALA Keh Jis Ney Na Sirf Iss Kaenaat Ko Wujood Bakhsha Balkeh Samandaron Ko Talatum-O-Tamawwuj Se Hamkinaar Kia. Jis Ney Zameen Ko Wus’a’tain Ata’a Ferma’ein…Jis Ney Sabzey Ko Lehek Aur Phoolon Ko Mehek Ata’a Fermai.

Ek Burhi Aurat Sey Kisi Ne Puchha Keh Aap Ko Allah Tabarak Wa Ta’ala Ki Pehchan Kaisey Hoi? Tau Unhon Ney Jawab Dia Keh Mein Ney Allah Pak Ko Apney Charkhey Sey Pehchana, Iss Tarah Keh Jab Mein Isey Chalati Hoon Tau Yeh Chalta Hey Aur Jab Chalana Band Ker Deti Hoon Tau Yeh Ruk Jata Hey…Yani Jab Ek Chhota Sa Charkha Baghair Kisi Chalaney Waley Key Nahi Chalta Tau Yeh Kaisey Mumkin Hey Keh Itni Bari Kaenaat Ka Charkha Kisi Chalaney Waley Key Baghair Chal Jaey??? NA MUMKIN.

Allah Tabarak Wa Ta’ala Ham Sab Ko Yeh Baat Samajhney Ki Taufeeq Ata Fermaey Aur Jab Bhi Ham Koi Kaam Karein Tau Yeh Zehen Mein Rakhhein Keh Allah Pak Na Sirf Mojood Hein Balkeh Hamein Aur Hamarey Tamam Kamo Ko Dekh Bhi Rahey Hein Aur Ek Din Aa’ey Ga Keh Jab Ham Sey Hamarey Tamam Kamo Key Barey Mein Puchha Jaeyga Keh Jo Ham Ney Dunya Ki Zindagi Mein Ki’ey (Achhey Aur Burey-Tamam) Iss Liye Hamein Hamesha Koshish Kerna Chaheye Keh Achhey Kaam Karein Chahey Unka Ta’alluq Huqooqullah Sey Ho Ya Huqooqul Ibaad Sey (Yani Jo Huqooq Allah Pak Key Apney Bando Per Hein Aur Wo Huqooq Jo Tamam Logo Key Ek Doosrey Per Hein) Huqooqul Ibaad Key Barey Mein Ziadah Derna Chahi’ye Kioon Keh Agar Aap Ne Allah Pak Key Huqooq Ada Na Kiye Aur Merney Sey Qabl Taubah Kerli Tau Ain Mumkin Hey Keh Allah Pak Aap Ko Mo’aaf Fermadein, Lekin Agar Aap Ney Logo (Awamunnas) Key Huqooq Ada Nahi Kiye; Kisi Ka Maal Harap Kerlia, Kisi Sey Rishwat Le Li, Kisi Peh Zulm Kia, Kisi Ko Nahaq Qatl Kia, Kisi Sey Jhoot Bola, Kisi Ki Chori Ki, Kisi Ki Gheebat Ki, Black Marketing Ki, Zakheera Andozi Ki, Sahih Maal Key Paisey Wusool Kiye Aur Ghalt Maal Dedia, Kam Tola, Kam Napa, Doodh Mein Pani Milaya, Bijli Chori Ki, Ya Bijli Key Mehekme Walon Ney Zaid Billing Ki, Aur Isi Tarah K Beshumar Huqooq Jo Bando Key Bandon Per Hotey Hein Unko Aap Ney Ada Nahi Kia Ya Merney Sey Qabl Un Logo Sey Apney Aap Ko Mo’aaf Na Karaya (JOKEH MUSHKIL HI NAHI BALKEH NAMUMKIN HEY) Yeh Gunaah Allah Pak Us Waqt Tak Mo’aaf Nahi Karein Ge Jab Tak Keh Wo Log Keh Jinkey Huqooq Ko Aap Ney Pamal Kia Hey Wo Aap Ko Moaaf Na Kerdein. For Example; Ek Chhoti Si Misaal Hey Keh DOODH WALA Kis Kis Key Ghar Jaker Mafi Mangeyga, Wo Tau Kharidaro Key Gharo Sey Waqif Bhi Nahi Aur Agar Kharidaar Ney Moaf Kerney Sey Inkaar Kerdia Tau Kia Hoga???

Iss Liye Abhi Sey Aisey Kaam Kerney Sey Apney Aap Ko Rokain Jinka Ta’alluq Huqooqullah Key Saath Saath Huqooqul Ibad Sey Bhi Ho, Aur Jin Logon Sey Iss Tarah Key Gunaah Sarzad Ho Chukey Hein Wo Pehli Fursat Mein Ulama-E-Haq Sey Rujoo’ Hoker Merney Sey Pehley Pehley Dono Tarah Key Gunahon Ki Ma’afi Ka Tareeqa Maloom Karein…. Iss Kaam Key Liye, Kisi Tv Channel Peh Janey Ki Zuroorat Nahi Nah Akhbaraat O Rasail Per Khutoot Bhaijein Balkeh Madaris Mein Muftian-E-Kiraam Sey (Jo Bhi Aapke Maslak Key Hon, Barelvi, Deobandi, Ghair Muqallid Waghera) Raabta Kerkey Apni Ma’afi Ka Intezaam Karein, Kahein Aisa Na Ho Keh Moat Ka Farishta Aajaey Aur Aap Ma’afi Na Maang Sakey Hoon.


ALLAH PAK HAM SAB KO AMAL KI TAUFEEQ ATA’A FERMAEIN, AAMEEN.

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 198947 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.