Hazrat Anas
(Razi-ALLAH-U-Ta’ala Anhu) Jokeh Ek Sahabi-E-Rasool Hein Aap (R.A.) Ne Fermaya
Keh Jab Rajab Ka Mahina Shuroo Hota Tau Rasool-E-Pak (SallALLAHu Alaihe Wasallam)
Ek Dua Maanga Kertey They Jiska Mafhoom Kuchh Iss Tarah Hey, Keh “EY ALLAH MAH-E-RAJAB
AUR MAH-E-SHABAN MEIN HAM PER BERKATAIN NAZIL FERMA AUR RAMZAAN TAK HAMEIN
POHNCHA DEY”. (Yani Ramzaan Ka Mahina Hamein Ata’a Fermadey, Hamein Itni Umer
Ata’a Fermadey Keh Ramzaan Ka Mahina Bhi Hamein Mil Jaey Takeh Uss Mahiney Mein
Ham Ziadah Sey Ziadah Ibadatein Karein Aur Aap (JALLAH Shanahu)Ki Raza Hasil
Karein).
BARKAT KIA HEY: Barkat Arbi Zaban Ka Lafz Hey Aur Urdu Mein Bhi Bohot Musta’amal
Hey Yani Kisi Cheez Mein Izafa Hona, Aisa Izaafa Jokeh Nazer Nahi Aata Balkeh
Mehsoos Hota Hey, Misaal Key Taur Per Jab Koi Musalman Apney Maal Mein Sey Zakat
Nikaalta Hey Tau Nazer Tau Yeh Aata Hey Keh Maal Dhai Fi Sad Kam Hogaya Yani
Pehley Agar 100 Rupees They Tau Ab 97 Rupeey 50 Paisey Reh Gayey Mager ALLAH Pak
Ferma Rahey Hein Keh Zakat Deney Sey Maal Kam Nahi Hota Balkeh Barh Jata Hey Aur
Ek Musalman Hone Ki Hesiat Sey Yeh Hamara Eeman Hey Keh Jo ALLAH Pak Keh Rahey
Hein Wohi Sach Aur Haq Hey Yani Hamein Yaqeen Hey Keh Maal Barhta Hey Jabkeh
Zahir Mein Nazer Yeh Aaraha Hey Keh Maal Kam Ho Raha Hey. Jaisey Lambi Umer Ki
Dua Mangney Ka Hukm Hey Jabkeh Her Musalman Ka Yeh Eeman Hey Keh Jis Shakhs Ki
Jitni Umer Likh Di Gai Hey Wo Nah Us Waqt Sey Pehley Marega Na Baad (Jitni
Sansein Us Ne Leni Hein Wo Liye Baghair Iss Dunya Sey Nahi Jaey Ga Tau Phir
Lambi Umer Ki Dua Kion?) Iska Matlab Ulma-E-Tafseer Yeh Batatey Hein Keh, Jis Ki
Umer Mein Barket Hoti Hey Wo Shakhs Apni Mukhtasar Umer Mein Aisey Aisey Kaam
Kerjata Hey Keh Basa Auqaat Yeh Shak Guzerta Hey Keh Kahein Ismein Mubalgha Tau
Nahi? Baaz Sahaba-E-Kiraam, Aaimma-E-Mujtahedeen, Buzurgan-E-Deen, Aulia ALLAH,
Soofia-E-Kiram, Jinki Umrein Itni Ziadah Nah Thein Magar Jab Ham Unkey Karnamey
Parhtey Ya Suntey Hein Tau Herat Hoti Hey Keh Ham Itni Umer Mein Kuchh Bhi Nah
Kersakey Jabkeh Inn Hazraat-E-Kiraam Ney Kitney Ma’aarkey Ser Kerliye, Kisi Key
Bare Mein Parhtey/Suntey Hein Keh Wo Ek Raat Mein Pura Quran Shareef Parha
Kertey They, 2000 Rak’atein Namaz Ki Parha Kertey They, Raat Bher ALLAH Pak Ka
Zikr Aur Din Bher Roza Aur Rozey Ki Haalat Mein Jehaad Bhi Iske Bawajood
Taleem-O-Tadrees Key Faraiz Bhi Ada Fermatey They Waghera, Yeh Sab Ghaleban Issi
Wajah Sey Mumkin Tha, Warna Hamara Tau Yeh Haal Hey Key Subh-O- Sham Ka Koi Pata
Nahi, Din, Haftery, Maheeney Aur Saal Aisey Guzer Rahey Hein Keh Pata Hi Nahi
Chalta, Umer Barhti Jarahi Hey Aur Aamaal Ki Tadad Na Honey Key Barabar.
Yeh Hey Barket, Yeh Ma’amlaat Sirf Un Logon Tak Mehdood Na They Balkeh Aaj Key
Pur Fitan Daur Mein Bhi Aisey Log Mojood Hein Jo Musalsal ALLAH Key Kaam Mein
Lage Huwey Hein Aur Wo Bhi Ek Din Mein Mukhtalif Aqsaam Key Umoor Anjaam De
Rahey Hein.
Rajab Ka Mahina Tau Ab Taqreeban Qareebul Khatam Hey, Ek Dau Roz Jo Baqi Bachey
Hein Unmein Yeh Dua Maangli Jaey Aur Mahe Shabaan Mein Bhi Yeh Dua Mangi Jasakti
Hey, Ek Tau Yeh Keh Ek Dua Rasool-E-Pak (S.A.W.) Ney Mangi Hey Doosrey Ismein
Hamarey Liye Barey Faedey Hein Na Sirf Dunya Mein Balkeh Ukhravi Zindagi Mein
Bhi Aur Agar Yeh Dua Qubool Hogai Tau Ummeed Hey Keh Hamari Na Sirf Umron Mein
Barket Ho Balkeh, Hamarey Maal, Aulaad Aur Deegar Achhey Kamon Mein Bhi Barkat
Ho Aur Hamara Nama-E-Aamaal Achhey Kamon Sey Bher Jaey Jo ALLAH Pak Ki Raza Aur
Rehmat Key Saath Hamari Bakhshish Ka Sabab Ban Jaey. Aameen.