Saffar Shumaal Kay(Episode 103)

(hukhan, karachi)

Yaar Had Karta Hay Subah Sey Nashta Kia Hua Hay Wo Bee Wajhbee Saa Or Aap Ka Mood Khanay Kaa Nahi Lagh Raha Ye Zulm Naa Insaafi Nahi Chalay Gee Kalim Nay Puranay 2 Number Politician Ki Tra Hath Lehra Lehra Kay Apni Bhook Ki Eltejha Mein Wazan Paida Kia,,,,,Dectatorship Naa Manzoor Humari Maaanghein Pori Karo ,,Baqi 2 Bee Kalim Ki Awaaz Say Awaaz Milanay Lagay,,,Khan Saabh Ye Democratic Dourr Hay,,,,Yaar Ek Bhook Nay Tujhay Acha Khasa Leader Bana Diya Hay Hum Nay Muskara Kay Kalim Ko Dekha Itnay Piaar Say Naa Dekhu Khan Saab Mujhay Kuch Kuch Huta Hay,,,Kalim Nay Dil Par Hath Rakh Kay Korangi Kay Shahrukh Ki Tra Say Pose Kia,,Sohail Say Sharukh Par Ye Zulm Bardasht Nahi Hua ,,,,Kalim Bahi Ko Khansi Khujhli Daad Haizay Kay Elawa Kuch Nahi Hu Sakta Iss Ko Serf Ghareebon Wali Beemarian Huty Hein,,,,,Bp,,Sugar,,Cardio Naam Ki Koi Bemari Is Kay Pas Bee Nahi Aa Sakty Uss Ko Dar Rehta Hay Kay Kahein Humein Kalim Na Hu Jaye,,Hum Duvikaar Ki Paharee Par Baithay Huay Hunza Valley Ko Ghooray Jaa Rahay Thay Barfeeli Chotion Say Thandi Hawa Sardi Lagha Rahee Thein Samnay Daryae Hunza Tha Uss Kay Side Par Sarak Par Transport Dour Rahee Thi Hunza Pori Tar Say Siaahun Kay Narghay Mein Aa Chucka Tha Duvikar Jisay Hunza Ki Roof Bee Kaha Jata Hay Almost 10 000 Feet Hay Samnay Eaglenest Hotel Siaahun Sey Bhura Hua Tha Har Chese Hotel Khana Logh Sab Moujhdh Tha Rastay Mein Tent Lagay Huay Thay Jis Mein Koi Space Nahi Thee Sab Bhuray Huay Thay Mosam Bhut Acha Tha,,,Navid Nay Kalim Se Pocha Bahi Kalim Ap Kay Abu Ka Kia Naam Hay Kalim Bola Nizamuddin,,,Acha Kis Nay Bataya Ap Ko Wo Ap Kay Abbu Hein Kalim Nay Navid Ko Ghooora Acha Bahi Naraaz Qun Huta Hay,,Sohail Nay Navid Ko Ankh Mari ,,Tujhay Kab Pata Chala Kay Wo Tmharay Abbu Hein Sohail Nay Sanjeeda Saa Munh Bana Kay Pocha Yaar Tum Logh Mar Qun Nahi Jatay,,Kalim Nay Ghusay Say Kaha Or Pher Meri Taraf Dekha Bahi Inn Ko Khana Khilaa Dey Inn Ka Deemagh Chal Gia Hay(Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1253614 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.