White Appricot Hotel Mein Shaam
Halkay Halkay Paharon Say Neehay Utar Rahee Thee Asay Jasay Koi Nai Naveli
Dulhan Pehli Dafa Widah Hu Kar Apnay Sanam Kay Ghar Mein Paon Rakhty Hay Har
Qadam Asa Jasa Koi Phool Rondha Naa Jaye.Hotel Ki Chai Zayda Buree Nahi Thi Iss
Liye Hum Nay Apna Munh Bura Banaye Bina Hii Iss Ko Apnay Andar Undailna Shuro
Kar Dia Samnay Hee Alitit Fourt Tha Samnay Hee Uss Kay Jamaat Khana Tha Uss Kay
Pechay Hunza Culture Centre Jis Ko Hotel Ki Tarz Prr Bee Use Kia Jata Tha Jis Se
Iss Centre Ka Kharcha Pora Kia Jata Tha.Gali Mein Chand Dukaanein Thy Jis Se Ap
Rozomarah Ki Zaroriyat Pori Kar Saktay Kuch Faslay Par Karimabad Ka Bazaar Tha
Shaam Kay Araam Kay Baad Hum Nay Karimabad Yatra Ka Programe Bnaya Tha Guest
House Ko Hum Nay Widah Keh Dia Tha Ubh Hum Iss Hotel Ki Shaam Ko Enjoy Kar Rahay
Thay .Sara Din Paidal Chal Chal Kay Hum Nay Nature Ko Tu Explore Kar Lia Tha
Magar Sab Kay Jisam Asay Hu Rahay Thay Jasay Farhad Kay Sath Pahaar Say Doodh Ki
Nehar Nikaal Kay Aa Rahay Hun.Hunza Ki Wadee Khamosh Hunay Laghi Thee Siaah
Hotels Mein Ghaieb Hu Gaye Thay Har Koi Saray Din Ki Thakaan Utaar Kay Pher Say
Fresh Huna Chah Raha Tha Samnay Barfili Chotiaan Ubh Golden Say Dafaied Huna
Shuro Hu Chuki Thein.Navid Nay Munh Say Dhuwaan Nikalna Shuro Kar Dia Tha ,,Maza
Aya Khan Sabh Niaz Nay Humary Chahray Ki Thakaan Ko Dekh Kar Muskarana Shuro Kar
Dia Tha Hum Nay Uss Ki Baat Nazar Andaaz Kar Di Kalim Nay Juta Hath Mein Uthaya
Or Niaz Kay Sath Mochi Ki Talash Mein Nkal Khura Hua Hunza Kay Logh Bhut
Khushikhlaaq Thay Har Koi Haal Ehwaal Pochta Ek Sawaal Bhut Common Tha Ju Hum
Say Pocha Jata Tha Kay,,,,,,Ap Karchi Mein Konsee Jagah Sey Aye Hein.Yhan Kay
Taqreeban Har Fard Nay Karachi Dekh Rkha Tha Mosam Sard Hunay Laga Tha Hum Nay
Room Say Apni Hud Wala Upper Nikaal Kay Pehan Lia Tha Mosam Nay Yakdam Karwat Li
Thii Hotel Walay Nay Kaha Ajh Barish Hu Gee Mein Nay Kaha Rastay Mein Bhut Say
Siah Aa Rahay Hun Gay Yhan Naa Tu Rooms Hein Naa Hee Agar Landsliding H Gai Tu
Raat Ko Koi Madad Gaar Milay Ga Bas Khan Saabh Raat Pher Garee Mein Hee Guzaarna
Hu Ge(Jaree Hay)