Saffar Shumaal Kay(Episode 106)

(hukhan, karachi)

Jasay Jasay Shaam Pahaar Ki Chotion Sey Neechay Wadion Mein Jhaankna Shuro Karty Thee Sath Hee Tahnd Kaan Mein Sargoshiaan Shuro Kar Dety Thee,,,Uss Ki Amad Siah Kay Garam Jhulsay Huay Jisam Ko Asay Sakoon Dety Thee Jasay Barfilee Shaamon Mein Koi Garam Blanket Aap Ko Apni Garam Aaghosh Mein Lay Laita Hay Navid Or Niaz Mein Cigretee Dhuwein Ka Muqabla Jaaree Tha Jasay Jasay Thand Barty Jaty Thee Dono Mein Ye Muqablaa Shidat Ekhtiyaar Kat Laita Tha.Sohail Bhut Sanjeeda Hu Raha Tha ,,,Sohail Chai Peeni Hay Kia Hum Nay Uss Ko Relaxe Karna Chahaa ,,,,Sohail Nay Asay Humein Dekha Jasay Koi Examination Paper Mein Out Of Sylabuse Sawaal Deikh Laita Hay,,,Sohail Nay Sanjeeda Lahjhay Mein Kaha Khan Sabh Khariat Hay,,,Kalim Nay Kaha Han Yar Mein Bee Shukar Hay Behosh Nahi Hua Asee Baat Iss Kay Munh Say Asay Hee Jasay Koi Indian Leader Keh Dey Kay Kashmirion Ko Haq E Khudiraadiyat Dey Dia Jaye,,,,Yaar Tuu Behosh Naa Huna Bhut Hee Bura Lagay Ga Navid Nay Cigret Ko Apnay Labhun Say Azaad Kartay Huay Kalim Par Boseeda Saa Humla Kar Dia ,,,Baita Mein Teri Godh Mein Hee Behosh Kay Girna Hay Or Teri Godh Tor Deni Pher Ye Godh Kabi Nahi Bhuray Gi,,Kalim Nay Hisabh Chuktaa Kar Dia,,Chai Ka Ghont Bhartay Hee Humein Ye Gham Bhool Gia Kay Chai Kitni Mehanghi Hay Wesay Sohail Ajh Iss Time Itna Udaas Saa Qun Hu Rahay Hu Bahi Hum Nay Apni Muskarahat Ko Bhut Mushkil Say Apnay Chahray Sey Dour Rakha ,,,Yaar Iss Ko Simran Yaad Aa Rahi Hay Navid Nay Cup Ko Table Par Rakhtay Huay Sohail Ko Cahhraa,,,,Simran Kon Sohail Nay Farm Mein Ana Shuro Kar Dia ,,,Err Yaar Dhuban Ki Akhri Nishani,,,,Jisay Tuu Har Pal Yaad Karta Hay Or Ju Teray Marnay Ki Din Raat Duaein Manghty Hay,,,,Navid Nay Humlay Mein Shidat Paida Ki,,,,,Oh Bahi Zandeghi Ki Duaien Hum Nay Jang Ki Shidat Ko Freezing Point Kay Qareeb Karnay Ki Koshish Ki,,,,Yaar Iss Ko Baree Fiqar Hay Simran Ki Sohail Nay Muskara Kar Kaaha,,,Qun Naa Hu Bahi Humari Hunay Wali Bahbhi Hay Navid Nay Hanstay Huay Kaha(Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1253805 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.