Saffar Shumaal Kay(Episode 107)

(hukhan, karachi)

Hunza Kaa Mosam Bee Perosan Kay Ghusay Ki Tra Hay Ju Baar Baar Time Bataty Hay ,,Ek Bajh Gia Agay Pechay Hu Jao Shor Na Kro Logh Iss Time Sotay Hein,,Navid Ko Ghar Yaad Aa Raha Tha,,,,Yar Khan Sabh Laghta Hay Ajh Ap Ko Bhut Bhook Laghi Hui Thee ,,,Hum Nay Sohail Ki Baat Par Hairat Se Usay Dekha ,,Wah Boss Tujh Mein Ek Achi Bv Ki Sbah Nishaanian Hein Hay Tuu Simran Ki Jagah Salman Khan Qun Nahi Dekhta Apnay Liye,,,Humaree Baat Ko Uss Nay Hawa Mein Uraa Diya Ajh Itna Acha Or Zaydah Khanay Kaa Order Kasay Dey Dia Aap Nay,,,,Aap Nay ,Kalim Nay Sohail Ko Jumlay Ko Hum Tak Pohachnay Say Pehlay Hi Uchak Lia,,,,Qun Yaar Khan Sahubh Ko Kia Mein Kabi Bee Izat Nahi Dey Sakta Ajh Kay Dinner Kay Baad Tu Bahi Ki Mazeed 21 Minute Tak Ki Izaat Karna Wajibh Hay Hum Sab Par,,,,Sohail Nay Hum Par Tanz Kia,,Wesay Baat Uss Ki Soo Fesadh Theek Thi Humein Bhut Zabardast Kisam Ki Bhook Laghi Thee Or Sath Mein Humaray Hotel Mein Kuch Khubhsorat See Larkion Kaa Jhurmat Saa Baitha Hua Tha Hum Nay Soch Rakha Tha Kici Bee Ek Ya Ek Say Zayed Piarii See Larkion Kay Samnay Izat Ko Glacier Kay Pani Ki Tar Behnay Nahi Dena Iss Liye Hum Nay Achay Or Zayda Khanay Ka Order Dia Magar Hum Nay Ye Baat Dil Mein Hee Rakhee Kici Se Share Nahi Ki Thee,,,Niaz Nay Cigret Kay Dhuwaein Ko Kherki Say Baher Kharijh Kartay Huay Kaha Khan Sahib Ki Tabiat Theek Nahi Ya Pher Budget Barabar Kia Jaa Rahay Hay,,,,,Hunza Ki Raat Thandhi Or Meethi Thee ,,,,Meethi Iss Liye Kay Hum Nay Cack Bee Khaya Tha,,,Asmaan Saaf Tha ,,,Pahar Kay Oper Golden Peak Ki Janibh Say Agha Khan Scouts Camp Fire Kar Rahay Thay Ye Manzar Bee Bhut Dilkash Tha ,,,,Music Ki Awaaz Bee Aa Rahi Thee,,,Chai Kaa Cup Khali Hunay Ko Thaa,,,,Baltit Fort Bhut Zabardast Tha Hum Kuch Deir Kay Liye Hunza History Kaa Hisa Ban Gaye Thay,,,Hunza Kay Mazi Mein Jahnk Kay Bhut Acha Laga,,,Fort Pr Janay Kay Liye Oper Tak Steps Banaye Gaye Thay Jis Se Kafi Warzish Bee Hu Gai Thee Ticket Laitay Huay Afsoos Hu Raha Tha Magar Fort Ki Seir Nay Sara Gham Bhughaa Dia,,,Guide Nay Bhut Achi Informission Dee(Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1253916 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.