Saffar Shumaal Kay(Episode 110)

(hukhan, karachi)

Hunza Valley Kay Qahwa Khanay Mein Hunza Tea Peetay Huay Har Ghont Humein Din Bhar Ki Thakan Say Dour Lay Ja Raha Tha ,,Hum Nay Khubhsorat Sey Naujhwaan Say Ju Kay Iss Kahwaa Khanay Kaa Malik Tha Boss Ye Zara Karwaa Saa Nahi Hay,,,Wo Muskra Diya Janabh Abhi Tu Iss Mein Hum Nay Asli Shaed Milaya Hua Hay Werna Aap Kay Halaq Say Iss Nay Neechay Hi Nahi Utarna Tha.Hum Pakistan Kay Bilkul Shumaal Mein Phali Hui Iss Wadee Ka Ek Hisa Thay 1974 Mein Yeh Pakistan Kaa Baqaida Ek Hisa Ban Gia Iss Kay Mashriq Mein Nagar Or Soth Mein Gilgit Hay Karimabad Iss Kaa Markaz Hay Jisy Hum Capital Bhee Keh Saktay Hein 900 Saal Tak Yeh Ek Azaad State Kay Tour Par Iss Kaa Wajhudh Raha Hay Ju Kay Ek Tavweel Mudat Hay Jabh Kay 1889 Say 1892 Tak Ye Wadhee Bartania Kay Zer E Saya Bhee Rahi Iss Kay Intazaami Amoor Taj E Bartania Ka Maza Bhee Chakh Chuckay Hein Iss Douraan Hukmaraan Mir Safdar Ali Khan Nay Kashghar China Mein Siassi Panah Hasil Kar Li Thee Falak Posh Pahaarun Kay Darmiyaan Pheli Hui Yeh Sarsabz O Shadaabh Wadhee Qudrat Kaa Anmol Shahkaar Hay.Yahan Kay Logh Ajh Bee Apnay Hukmarano Ki Tasveer Hein Discipline,Mehmaan Dosty Apnay Culture Say Piaar Yahan Ki Tahzeeb Ka Khasaa Hein Har Tra Kay Khanay Ba Asaani Mil Jatay Hein Taleemi Etebaar Say Hunza Bahut Agay Hay.Ye Logh Aman Pasand Or Muhabat Karnay Walay Hein Bachay Ap Ko Ghoor Ghoor Kay Dekhtay Hein Ladies Ap Ko Dekh Kar Bilkul Bee Nahi Sharmaaty Balkay Un Ki Chaal Dhaal Mein Ek Puretmaad Saaa Waqaar Hay Aurtein Din Bhar Aap Ko Kaam Mein Mashghool Nazar Ayein Gee Larkay Bilkul Latest Fashion Kay Baal Or Laibaas Kay Dildadaa Hein Ap Ko Kici Bee Kisam Ki Mushkil Hu Ya Rehnumaiee Ki Zarorat Hu Ye Agay Bar Kay Aap Ki Mushkil Ko Hal Karnay Ki Koshish Kartay Hein.Yun Kaha Jaye Tu Bilkul Bhee Bay Jaa Naa Hu Ga Yah Logh Glacier Kay Pani Ki Tra Thanday Meethay Pahaar Ki Chittaanu Ki Tra Buland Husla Or Hunza Valley Ki Tra Andar Say Sar Sabz O Shadaabh Hein(Jaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1253745 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.