Saffar Shumaal Kay(Episode 109)

(hukhan, karachi)

Rakaposhi Karakoram Range Mein 7788m Buland Pahaar Jis Ka Matlab Barf Say Dhaka Hua ,Nagar Wadee Mein Gigit Say 100km Douri Par Ye Pahaar Hunza River Say 12km Faslay Par Hay.Duniya Mein Ye Peak Bulandi Kay Etebaar Say 27 Th Hay Magar Iss Pahaar Ki Shohrat Mein Iss Ki Bulandi Kaa Hisa Kam Magar Iss Waja E Shohrat Iss Kay Mosam Base Camp Or Etraaf Ki Khubsorati Ki Waja Say Hay.Pakistan Ki Ye 12th Number Ki Peak Mein Shumaar Huty Hay.1958 Mein Pak British Common Members Nay Iss Peak Ko Pehli Dafa Sar Kia Iss Team Kay Leader Mashoor Koh Peima Mike Banks Or Tom Patey Thay In Loghun Nay North West Say Iss Ko Sar Kia Iss Douraan Dono Ko Frost Bite Bee Hua Jabh Kay 1 Member Ki Hadsaati Mout Bee Hui Hum Iss Waqt Gulmit Wadee Kay Zero Point Par Thay.Yaar Pahaar Mosam Hawa Logh Manzar Chai Aloo Kay Fries Sab Kay Sab Bhut Dil Moh Lainay Wala Tha.Navid Nay Niaz Say Cigret Manghi Ppata Chala Mosoof Cigret Hotel Mein Bhoo Ayein Hein Or Yahan Cigret Kahein Bee Dastyabh Naa Thee Hunza Valley Kuch Faslay Par Thee ,Barf Se Dahkee Hunay Ki Waja Say Rakaposhi Dulhan Ki Tra Lagh Rhi Thee Pora Chahra Make Up Zada Saa Hu Gia Tha Pahar Kay Daman Mein Sabza Hi Sabzaa Tha Har Chese Apni Jagah Par Khubh Thee Kici Bee Chese Ki Kami Na Thee,,,Mein Sara Pakistan Dekh Chucka Tha Magar Pher Bee Iss Manzar Mein Sab Say Kuch Alagh Tha Jis Say Mujhay Ye Koi Jadu Naghree Yaa Film Ka Manzar Lagh Raha Tha.Sarak Kay Dono Taraf Parking Dour Tak Full Hu Gai Thee Hum Subah Jaldi Isi Liye Aa Gaye Thay Kay Rakaposhi Say Kuch Batein Kar Lein Ubh Tu Rakaposhi Sargoshi Bee Nahi Karnay Wali Baat Tu Dour Ki Baat Hay.Hum Iss Kay Mehmaan Thay Iss Kay Ashiq Thay Iss Kay Dost Thay.Mein Gardan Kay Pechay Hath Rakhay Kursee Say Taik Kagaye Rakaposhi Ko Ghoor Raha Tha Wo Ada Say Muskara Raha Tha Uss Mein Ghror Tha ,Uss Nay Humein Ghaas Nahi Dali Roop Nahi Badla Sorajh Ghaeib Nahi Hua Badhli Nahi Ayee Meena Nahi Barsaa .(Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1253849 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.