Ghareeb Ka Ramadan

(Zubaida Mohammad, Makkah Mukarram)

Assalam Alaikum
Ramadan...Ye Aisa Mahina Hy Jis Ka Hum Sub Mosalmano Ko Bara Be Sabri Se Intazar Rehta Hy.Ache Ache Pakwan.Namaz.Roze Ye Sub Hame ALLAH Ke Aur Qareeb Lejati Hy.Aur Hum Is Ba Barkat Mahine Me Donya Dari Chor Kar Sirf Aur Sirf ALLAH Taala Ki Ebadat Me Kho Jate Hy.Sub Sadqa Dete Hy Zaqat Nikalte Hy.Aur Sub Gunaho Se Estagfhar Karke ALLAH Se Mafi Ke Talab Gar Rehte Hy.

Mera Ye Article Likne Ka Sirf Ek Maqsad Hy.Wo Ye Ke Hum Apni Tamam Ramadan-E-Kareem Buht Ache Se Kaat Te Hy.Likin Buht Se Aise Log Hy Jin Ke Roze Me Khane Ke Liye Khuch Nahi Hota Wo Log Phir Bhi ALLAH Ki Raza Ke Liye Roza Rakhte Hy.Aur Jab Eid-E-Mubarak Ati Hy To Pehen Ke Liye Ache Kapre Nahi Hote...In Logo Ko Jab Bhi Dekhte Hy To Khud Ko Chota Mahsos Karte Hy.Eid Me Hum Kaha Kaha Ghomte Hy Aur Wo Log Apna Paet Bharne Ke Liye Kaam Kar Rahe Hote Hy.In Ke Bache In Se Eid Ke Liye Ache Kapre Mangte Hy Par Wo Log Nahi De Sakte.

To Hamara Farz Banta Hy Ke Hum Khud Se Pehle In Ko Dekhe.Khud Roza Kholne Se Pehle Un Ko Aaftari Pohcay.Jab Eid Aye To Un Ko Bhi Thora Hi Sahi Eidi De.Take Unko Bhi Lage Ke Is Doniya Se Abhi Piyar.Fiqr.Apna Pan Khatam Nahi Howa.In Sb Chizon Se Hi Shaid Hamari Maghfirat Hojay.Aur Mere Khayal Se To Ye Sub Karke Hi Hamari Ramadan Mubarak Ho Sakti Hy.Aap Sub Is Par Gaur Zaror Karna...Aur Gareebo Ki Bhi Ramadan Mubarak Karna.ALLAH Sub Ko Tofiq Ata Farmaye.Ameen
Ramadan Kareem
Sallo Alal Habib S.A.W
 

za
About the Author: za Read More Articles by za: 4 Articles with 12562 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.