Saffar Shumaal Kay(Episode 114)

(hukhan, karachi)

Hunza Valley Ko Jahan Paharon Nay Bahut Buland Muqaam De Rakha Hay Wahan Iss Ki Historical Value Or Importance Ko Baltit Nay Qaim O Daeim Rakha Hay Hunza Ki History Jahan Falak Bos Paharon Nay Zinda Rakhi Hay Wahein Baltit Fort Iss Kay Shab O Roz Ka Ameen Or Gawa Hay Hunza Valley Or Nagar Ki Purani Dushmani Ki Kahanian Zayda Purani Nahi Hein Dushmanu Sey Bachnay Kay Liye Ye Fort Bnaya Gia.Unesco Nay 2004 Main Iss Fort Ko Duniya Kay Wersay Ka Darjha Dia Iss Qilay Ki Tareekh 700 Saal Puraani Hay Mukhtalif Adwaar Mein Iss Ki Murumat Or Dekh Bhaal Ki Waja Say Ye Ajh Tak Qaim O Daim Hay Kehtay Hein 1600mein Yahan Kay Shahzaday Ki Shadi Baltistan Ki Shahzadi Say Hui Ju Apnay Sath Behtreen Karighar Laie Jinhun Nay Iss Ki Araaish Mein Kamaal Kaam Kiya Ye Bakamaal Karigar Shazadi Kay Jahaiz Mein Sath Laye Gaye Thay Iss Fort Ko 1996 Mein Tazeen O Araish Kay Baad Sadar E Pakistan Or Prince Karim Agha Khan Nay Iss Ki Opening Ki Ubh Ye Bhut Say Siahun Ko Kuch Deir Kay Liye Hunza Kay Mazi Mein Lay Jata Hay Jis Sey Hunza Ki Buzarghi Or Ehmiat Ka Andaza Huta Hay Ye Anmol Tuhfa Ubh Hum Sabh Ki Muhabat Or Neghedasht Ka Matqaazi Hay Iss Ki Tameer Or Muqaam Dekh Kay Andaza Kia Ja Sakta Hay Kay Arsa Pehlay Kis Qadar Janfashaani Kay Baad Hee Iss Ki Taameer Mumkin Hui Hu Ghee Ubh Iss Ki Amarat Iss Kay Shandaar Mazi Ki Yaad Delaty Hay .White Apricot Hotel Wapsi Kay Baad Hum Logh Zameeni Beds Par Iss Tra Paray Huay Thay Jasay Fort Dekh Kay Nahi Balkay Bna Kay Aye Hun.Kalim Nay Apnay Kapray Dhu Kar Baher Galery Mein Latka Diye Thay Yaar Koi Kapray Lay Tu Nahi Jaye Ga Kalim Nay Fiqar Mandh Lahjhay Mein Pocha Sohail Nay Zor Daar Kahkhaa Lgaya ,Khushfehmi Dekhu Bahi Ki,,,,,,,,,Iss Kay Kapray Bhee Koi Lay Jaye Ga,,,Yaar Tu Sarak Par Sukha Lay Logh Ye Kapray Tujhay Room Mein Dey Kar Jaein Gay,,,,Sohail Ka Hans Hans Kay Buraa Haal Tha Navid Nay Kaha Wesay Asay Kaprun Ko Aksar Logh Jala Detay Hein(Jaree Hay)A

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1253613 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.