HUNZA DARYA Kay Kinaray Baithay
Huay Pani Kay Shore Mein Baat Karna Mushkil Hu Raha Tha Yaar Iss Mein Trout Hu
Gee Navid Nay Kalim Say Pocha ,,Yaar Mein Shakal Say Koi Machera(Fisherman)
Nazar Ata Hun Kalim Nay Masnoi Naraazghi Say Kahaa Navid Tu Bhii Us Say Poch
Raha Hay Jis Nay Barson Pehlay Koi Sastee Se Machli Jhaiee Hu Gee Sohail Nay
Pathar Darya Mein Uchaaltay Huay Kaha Yaar Wesay Baltit Fort Zara Nechay Nahi
Bnaya Ja Sakta Tha Banday Ki Mat Mari Jaty Hay,,Yaar Jis Zamanay Mein Ye Fort
Bnaya Gia Tha Un Kay Hisabh Sey Ye Neechay Hee Hay Mein Nay Sanjheedghi Say
Kahaa,,,Kia Matlab ,Navid Nay Sawalia Andaaz Mein Humaree Taraf Dekha Matlab Ye
Kay Bahi Uss Time Ye Un Kay Servival Hu Ga Or Wesay Bhee Uss Time Kay Logh Super
Fit Huaa Kartay Thay Navid Nay Samajh Janay Walay Andaaz Mein Asbaat Mein Sar
Hilayaa.Navid Nay Cigret Sulghaa Li Yaar Asee Jagah Dhundhu Kay Darya Mein Paon
Dala Jaa Sakay Kalim Ka Dil Pani Ko Dekh Kay Machalnay Laga,,Bahi Iss Kay Neelay
Pani Ko Ultii Laghwani Hay Sohail Nay Kahkahaa Laga Kay Kahaa.Hunza Valley Ko
Jis Tra Chaaron Taraf Say Pahaaron Nay Apni Banhun Mein Lia Hua Hay Isi Tra
Baghaat Bee Yahan Kay Husan Or Khubhsoraty Mein Baraabar Kay Hisaa Daar Hein
Yahan Kay Fruit Or Dry Fruit Yhan Ki Muassh Ka Ek Bara Hissa Hein Isi Trah Yahan
Ki Handycrafts Kay Jawabh Nahi Magar Hein Zara Mehnghi Magar Inn Par Kia Gia
Kaam Or Mehnat Iss Mawazay Kay Samnay Zayda Nahi Hein Bazaar Mein Ghoomtay Huay
Humein Time Ka Pata Bhee Naa Chala Ajh Humaree Hunza Mein Ye Akhree Shaam Or
Pher Raat Thee Kal Humaree Manzil Sost Thee Iss Liye Hum Hotel Say Baher Zayda
Say Zayda Waqt Guzaarna Chahtay Thay Ajh Raat Kuch Muqaami Loghn Nay Humaray
Pass Ana Tha Hum Kuch Maloomat Lay Kar Jana Chahtay Thay Ju Ko Laghu Ki Zubaani
Hu Hum Sabh Paidal Chaltay Huay 5km Ka Safar Taye Karnay Kay Baaad Apnay Hotel
Pohanch Gaye Jahan Garam Garam Chai Humaree Muntazir Thee(Jaaree Hay)