Sost Say Zero Point Ka Saffar
Hum Nay Subah 7 Bajay Hee Shuro Kar Dia Tha Qun Kay Hum Nay Rastay Mein Kai Baar
Ruknaa Tha Khas Kar Khanjerab National Park Kay Liye Hum Uss Kay Natural Scene
Ko Enjoy Karna Chahtay Thay Subah Khunki Bahut Zyda Thee Magar Humaray Garam
Kaproun Nay Iss Shidat Ko Enjoy Mein Tabdeel Kar Dia Tha Rastay Mein Entry
Ticket Bee Laina Para Ju Kay Humaree Pocket Kay Ain Mutaabiq Tha Itnay Kam Pasun
Mein Itna Haseen Mosam Or Pait Bhar Khubsorat Nzazray Souda Mehngha Naa Tha
,,,,Yaar Yahan Janwar Bee Hu Saktay Hein Road Say Zayda Dour Na Jana Kalim Nay
Kici Buzargh Ki Tra Hum Ko Nasihat Ki,,,Yaar Ek Janwar Kay Munh Say Dosray
Janwar Ki Buraaiee Pehli Dafa Suni Hay Navid Nay Humaray Kaan Mein Sargoshi
Ki,,,Hum Say Raha Nahi Gia Hum Nay Kalim Ki Taraf Dekh Kay Zor Daar Qahkahaa
Lagaya Wo Saree Baat Samajh Gia ,,Yaar Teraa Qahkahaa Marwaa Deta Hay Werna Iss
Kay Farishtun Ko Bee Iss Baat Kaa Pata Naa Chalay Navid Nay Hum Say Masoom Sa
Shikwaa Kiya Har Taraf Haryaali Thee Mosam Lajwaab Har Manzar Haseen Har Saans
Mein Khushbu See Naak Mein Ghusty Hui Ek Siaah Ko Or Kuch Nahi Chaiye Uss Kay
Andar Kay Tajusuus Ko Asoodghi See Mil Rahee Thee Wo Hazaroun Km Ka Faasla Tay
Kar Kay Bee Shadaan Tha.Niaz Nay Garee Bahut Maharat Say Chalaiee Thee Samnay
Say Anay Wala Left Hand Drive Trafic Zayda Naa Tha Garee Agay Agay Ki Jaanibh
Dourr Rahee Thee Jabh Kay Mannzar Peeechay Ko Dournay Lagay Thay Sohail Kafee
Tahaka Hua Nazar Aa Raha Tha Ya Pher Usay Simran Yaad Aa Rahee Thee Uss Ki
Khamoshi Ko Koi Bee Matlab Pehnaya Jaa Sakta Tha Magar Wo By Nature Ek Kam Guu
Insaan Hay Andar Baher Say Ek Khubsorat Naujawaan Humein Uss Say Bahut Purana
Eshq Tha Asa Dost Ju Dhoop Chaown Mein Humaray Sath Rehta Tha Hath Paon Ka
Mazboot Magar Dil Kici Masoom Say Bachay Ki Tra Nazuk Naraaz Naa Huta Tha Baat
Tabiat Kay Mutabiq Naa Hu Tu Khamoshi Ko Tarjeeh Deta Tha Larta Ya Fazool Behas
Nahi Karta Tha Hum Chaar Dostun Ki Dosty Kaa Ek Satoon Sohail Tha(Jaaree Hay)