Saffar Shumaal Kay(Episode 126)

(hukhan, karachi)

HuKhan

Iss Mein Koi Shaq Nahi Kay Sost Ka Khanjerab Pass Apni Misaal Aap Tha Nature Apnay Har Rangh Mein Jalwa Gar Thee Bas June Kay Mahinay Mein Karchi Ki Januray Say Zayda Sardee Thee Ju Kay Ek Lutaf Maza Mojh De Rahee Thee Kai Logh Oxygen Ki Kami Kaa Shikaar Hu Rahay Thay Jis Say Un Ko Vomate Sar Dard Ki Shikayat Hu Arhee Thee Hum Sab Kay Paas Khaty Meehty Chery Or Dry Fruit Mojudh Tha Tablets Bhee Sath Thein Ju Height Sickness Mein Use Ki Jaty Thein Wo Sab Ki Sab Hum Nay Niaz Ki Tra Loghun Mein Taqseem Kar Dein Kuch Loghun Ko Hum Nay Wapis Park Ki Hui Garion Mein Baith Janay Ko Kaha Jahan Thand Say Qadray Bacha Ja Sakta Tha ,,Wah Khan Sahib Aap Tu Kamal Hu Sab Aap Ko Asay Dekh Rhay Hein Jasay Aap Yahein Ki Paidawaar Hu Ya Pher Koi Asmaani Makhloq Hu Hum Abee Sohail Ki Baat Par Fakhar Say Apna Seena Phulanay Hee Walay Thay Kay,,,Navid Nay Kaha Yaar Apna Dost Hay Iss Ko Alien Na Bolna Ubh,,,,,Hum Foran Sara Mamla Samajh Gaye Or Apni Oqaat Mein Wapis Aa Gaye Zaalim Thoree Deir Bee Khush Nahi Hunay Detay.Kalim Nay Humara Kandha Thapthapaya Yaar Dil Par Naa Lia Kar,,,,Sahi Kaha Bahi Kalim Inn Ki Batun Kaa Buraa Kia Mnaana Hum Nay Inkisaari Say Ankhein Jhukaa Kar Kalim Say Kaha ,,Yaar Mera Matlab Hay Tanz Tu Navid Nay Bilkul Theek Kia Hay Aap Iss Tareef Ko Dil Par Naa Lay Laina Kalim Ki Iss Baat Par Rahee Sahi Izat Bee Khanjerab Ki Barf Ki Tra Pani Hu Gai Huma China Kay Banyaye Huay Gate Kay Paas Pohanch Chukay Thay Pakistanion Nay Distance Poles Bnaye Huay Thay Jis Mein Islamabad Tak Ka Fasla Likha Hua Tha Security Par Mamoor Loghun Say Hello Hi Kar Kay Hum Agay Bar Gaye Kuch Glacier Raod Kay Bahut Qareeb Thay Ap Baasaani Wahan Tak Jaa Saktay Hein Bas Ap Nay Dourna Ya Fast Walk Nahi Karni Or Breaks Kay Baad Walk Karni Hay Yeni Aap Nay Time Ko Ehmiat Nahi Deni Balkay Araam Ko Zayda Foqiat Deni Hay Iss Tra Aap Height Sickness Say Bach Jaein Gay Werna Aap Iss Jagah Ko Zayda Enjoy Nahi Kar Paein Gay(Jaaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1194674 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.