Hazraat-e-Shaikhain Ki Pairwi

(Chiraghdeen, Karachi)

HAZRAT ABU BAKER SIDDIQ (Razi ALLAHu Anhu) Aur HAZRAT UMAR FAROOQ (Razi ALLAHu Anhu) Dono Sahaba Hazraat-E-Shaikhain Kehlatey Hein.

Angrez Key Daur Mein Jab Hindustan Mein Congress Ki Hukoomat Qaim Huwi Jo Ibtedaa Mein Aarzi Thi Lekin Baad Mein Mustaqil Hogai, Us Waqt Gandhi Ji Ney Ek Mazmoon Likha Tha Keh Agar Hamarey Hundustani Wuzra Aalami Waqaar Chahtey Hein Tau Unhein Hazraat-E-Shaikhain Ki Hukumat Kerney Ka Namoona Apney Saamney Rakhna Chahiye? Keh Rome Aur Faras Ki Hukumatein Unkey Qadmon Mein Aagiri Thein Lekin Na Tau Unkey Paiwand Lagey Kaprey Unsey Chhootey Na Jo Ki Roti Chhooti, Na Fiqr-O-Faaqa Chhoota Aur Na Unkey Zohod-O-Qana-At Mein Koi Farq Aaya.

Remarks:
Maqaam-E-Fikr Hey Keh Hinduwoon Ko Tau Apni Hukumaton Ki Kamiabi K Liye Hazrat-E-Shaikhain (Rizwanullah-E-Alaihim Ajmaeen) Ki Zindagiyon Mein Namoona Nazer Aaeey Aur Khud Ko Musalman Kehlaney Waley Inn Muqaddas Shakhsiat Ko Koi Ehemmiyet Na Dein, Afsos Aisey Na'aqebat Andaish Musalmano Ko Kia Kaha Jaey, Sirf Itna Keh ALLAH Inko Aur Ham Sab Ko Hidayet Dey Keh Ham Bhi Apni Zindagiyon Ko Unki (R.A.) Guzari Huwi Zindagi K Mutabiq Amal Kerney Ki Taufeeq Ata'a Fermaey Aur Unki Asal Tau Hamarey Bas Mein Nahi Lekin Agar Unki Naqal Kerli Tau Yeh Bhi Hamarey Liye Bohot Barri Sa'adat Ki Baat Hey.

Chiraghdeen
About the Author: Chiraghdeen Read More Articles by Chiraghdeen: 56 Articles with 196270 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.