Musalman Urat Ka Parda 2
(Zubaida Mohammad, Makkah Mukarram)
Assalam-O-Alaikum
Aurat Ke Cehre Ke Parde Par Bhut Se Scholars Ka Ikhtalaf Hy....Phir Bhi Hum Agar
Dekhe To Bhut Kuch Clear Hojata Hy.Kuch Logo Ka Ye Khayal Hy Ke Urat Agar Cehreh
Ke Alavva Pore Jism Ko Dhamp Le Lai Tab Bhi Theek Hy.... Magar Aye Hum Quraan My
Dekhe Ke Waha Se Hame Kiya Hukm Mil Raha Hy.....
Ayai Nabi(S.A.W)Apni Biwiyoo Aur Apni Baetiyoo Ko Aur Mominoo Ki Auratoo Ko
Farmade Keh Wooh Apne Aupar Apni Chadrain Daal Liya Kare Ye Qareeb Tar Hy Ke Un
Ki Pehcahn Ho Jaye To Unhain Na Sataya Jaye Aur ALLAH Bakhshnay Wala Nihayat
Meherbaan Hy.(Sorah Ahzab-59.)
Aur Jab Tum Un Nabi S.A.W Ki Biwiyoo)Se Koi Cheez Mango To Un Se Parde Ke Peeceh
Se Mango.Yeh Baat Tumhare Aur Un Ke Diloo Ke Liye Ziyadah Pakeezah Hy.(Sorah
Ahzab-53)
Aur Sabiq Dor Jahiliyat Ki Saj Dhaj Na Dekhati Pharoo(Sorah.Ahzab.33)
Aupar Ki Ayatoo Me Pehle To Hukum Diya Gaya Hy.Ke Agar Koi Cheez Magni Ho To
Parde Ke Piche Se Mangi Jaye. Zahir Hy Ke Agar Parde Ke Piche Se Koi Cheez Mangi
Jarahi Hy To Lazimaan Is Me Cehre Ka Parda Karne Ki Taraf Isahra Hy........
Parda Kis Tarah Ka Karee....Poreh Jism Ka Pardah Jis Me Cehra Bhi Saamil Hy.
Hijab Tang Na Ho Ke Pardah Kar Ke Bhi Pardah Na Lage. Bareek Na Ho Aur Na Tang
Ho Jo Jism Ko Zahir Kar Raha Ho.
Hijab Ke Fawaid
Parda Izzat Hy.
Parda Pakeezgi Hy.
Parda Sater Hy.
Parda Taqwa Hy.
Parda Emaan Hy.
Hijab Na Karne Ke Nukhsan......
Baipardagi Nifq Hy.
Baipardagi Bai Hayai Hy.
Baipardagi ALLAH Aur Us Ke Rasol S.A.W Ki Nafarmani Hy.
Meri Tamam Muslim Khavatteen Se Iltaja Hy Ke Parde Ki Pa Bandi Kare.Aur Hamare
Baru Ki Izzat Baraye.
ALLAH Hafiz
Sallo Alal Habib S.A.W