Saffar Shumaal Kay(Episode 129)

(hukhan, karachi)

HuKhan

Raat Kay 9 Bajh Rahay Thay Hotel Kaa Dinning Hall Loghun Say Bhura Hua Tha Zahir Hay In Mein Siaahun Ki Tadaad Zayda Thee Ju Siaah Zero Point Say Wapis Hu Aye Thay Wo Qadray Thakay Huay Or Wapsi Ki Planing Kar Rahay Thay Jin Ko Kal Subah Wahan Jana Tha Wo Information Akhatee Kar Rahay Thay Kuch Garee Walon Ki Payment Kaa Poch Rahay Thay Kuch Raastay Kay Baray Mein Poch Rahay Thay Kuch Siaahun Ko Hum Nay Bee Guide Kar Diya Us Kay Baad Tu Mehfil Say Lagh Gai Koi Dev Sai Koi Fairy Meadows Ki Mallomaat Lainay Laga Thoree Deir Kay Liye Hum Bee Tourism Ki Khidmat Karnay Lagay Hum Nay Loghun Ko Asaan Route Ya Asay Route Kay Mutalq Btaya Ju Yhan Say Un Ko Suit Karta Tha Mosam Ka Bataya Rastay Kay Khatarnaak Ya Asaan Hunay Ka Bataya Yahan Tak Har Route Ka Budget Bee Bna Kay Explain Kiya Iss Douraan Navid Sohail Niaz Kalim Or Bahut Sey Muqaaami Or Siah Tash Ki Baazi Laga Kay Baith Gaye Humein Bahut Sey Loghun Nay Chai Ki Offer Ki Humaree Khidmaat Kay Silay Mein,,, Hum Nay Ek Ki Offer Ko Bee Manaa Nahi Kia Qun Kay Hu Sakta Hay Humaray Manaa Karnay Say Unn Ka Dil Tot Jata Ya Pher Humein Wo Koi Maghroor Insaan Samajh Laitay Kailm Humein Chai Par Chai Peta Dekhta Raha Uss Kay Pait Mein Dard Bahut Hu Raha Tha Qun Kay Hum Maal E Muft Dil E Bay Reham Wali Policy Apnaye Huay Thaykoi 12 Kay Qareeb Cup Chai Hum Raat 3 Bajay Tak Apnay Stomach Mein Unndail Chukay Thay Ubh Sardeee Bee Bahut Bar Chukee Thee Hotel Kaa Manager Humein Free Dekh Kay Humaray Paas Aa Gia Humein Cigret Offer Ki Ju Hum Nay ,,,Hum Iss Naimat Say Ubh Tak Mehroom Hein Kah Kar Thukraa Dee,,,,Uss Kaa Hotel Full Tha Kitchen 24 Hour Chal Raha Tha Uss Ko Gilgit Say Anay Walay Apnay Kitchen Kay Samaan Or Gas Cylender Kaa Shidat Say Intezaaar Tha Hum Nay Uss Ko Apnay Baray Mein Bata Diya Tha Or 2 Months Kay Baad Hum Ek Group Ko North Mein Lanay Walay Thay Uss Kay Mutaliq Un Ko Samjha Or Bata Rahay Thay Unn Say Mashwaray Lay Rahay Thay Unhun Nay Kamal E Muhabat Say Apnay Aap Or Hotel Ko Har Kisam Ki Khidmat Kay Liye Pesh Kia(Jaree Hay)

hukhan
About the Author: hukhan Read More Articles by hukhan: 1124 Articles with 1254125 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.