Gilgit Kaa Mosam Bahut Garam
Tha Kaha Sost Ka Lajwabh Mosam Kaha Khanjerab Pass Zero Point Ki Kapkapa Denay
Wali Thatharty Sardee Kaha Ye 32c Shor Sharaba Crowd Gilgit Ki Ye Khubiaan Bee
Hein Ye Hee Iss Kaa Minus Point Bee Hay Magar Pollution Nahi Thee Market Thee
Hotel Thay Pahaar Thay Dry Pahaar Sabzay Say Khaaali Magar Siah Ki Ankh Kay Liye
Yahan Bee Bhut Kuch Tha .Hum Gilgit Baltistan Kay Capital City Mein Thay Iss Kaa
Qadeem Naam Sargin Tha Pher Gilit Hu Gia Ubh Ye Gilgit Hay Silk Road Ka
Intehaiee Eham Tareen Shaer Hay Kici Dour Mein Yahan Badhuism Kaa Bol Bala Tha
Pher Islaam Ki Roshni Nay Iss Ko Apnay Noor Say Iss Khitay Ko Manawar Kar Diya
China Say Bahut Say Budh Bakhsu Gilgit Or Pher Yahan Say Kashmir Jaa Kar Budhism
Ki Taaleemaat Lainay Jatay Thay Yahan Say Ladakh Ka Safar Bee Kiya Jata Tha
Yahan Kay Puranay Hukmaranu Ko Ra Ka Title Diya Jata Tha Ye Zayda Hindu Mazhab
Say Taluq Rakhtay Thay Pher Pechlay 550 Saalun Say Islam Nay Yahan Apni Sachaiee
Ki Badulat Kufar Ko Mittaa Diya Iss Tra Ras Hindu Kisam Kay Naam Alqaabaat
Kahein Ghaieb Hu Gaye Pher Waqt Nay Karwat Li Or Mazboot Bahadur Trakhan Ka Dour
Aa Gia Yahan Sadion Trakhan Nay Raj Kiya Raja Abas Ki Mout Kay Sath 1810 Mein
Trakhan Ki Hakoomat Kaa Khatma Hu Gia Or Sadion Par Muheet Ye Dour Apnay
Ekhtimaam Ko Pohancha Magar Trakhan Nay Ek Touweel Arsay Tak Yahan Apni Dhaak
Jama Kar Rakhii Magar Jis Tra Har Chese Ko Fana Hay Uss Ko Zawaal Ana Hay Isi
Tra Trakhan Bee Qisa E Parniya Ban Gaye Hunza Or Nager Kay Hukmaraan Bee Trakhan
Kay Sath Apni Apni Raj Daari Kaa Dawa Kartay Hein. Ye Logh Apnay Raja Shamsher
Ko Hero Say Kam Darja Nahi Detay Jis Nay Khufia Tour Par King Shri Badat Ki
Baity Say Shadi Kar Rakhee Thee Uss Larki Nay Shamsher Ki Khatir Apnay Walid Ki
Rajh Dahaani Tak Ko Thukraa Dia Tha,,,,Muhabat Kitni Puraani Hay,,,Is Kay Samnay
Har Shae Aani Jaani Hay.,,,Ye Hee Raja Ki Rani Ki Kahaani Hay.Wesay Iss Mein Koi
Harjh Bee Nahi Yahan Kay Logh Surkh Rangat Or Neeli Ankhun Kay Malik Hutay Hein
Iss Mein Uss Shahzadi Kaa Koi Qasoor Nahi Hay Ye Humaree Zaaty Raye Hay(Jaaree
Hay)