Kehtay Hein British Dour Mein 
Punjab Ambla Say Musalmaan Governor Abudullah Ko Gilgit Kaa Nazam U Nasaq 
Sambhalnay Ko Diya Gia Pher Ye Khan Bahadur Or Zai Pathan Kay Hisay Mein Bee 
Ayaa Ubh 99 % Yahan Musalmaan Aabaad Hein Tareekhi Tour Par Gilgit Hunza Or 
Nigar Apus Mein Juray Huay Bee Nazar Ataty Hein Or Inn Mein Bahut See Janghein 
Bee Huty Rahein Hum Jsr Hotel Kay Owner Shahid Say Milnay Chalay Gaye Wo Wesa 
Hee Hashaash Bashaash Nazar Aa Raha Tha Ubh Wo Siaasi Tour Par Bee Bahut Mazboot 
Or Active Hu Chucka Tha Uss Mein Social Activist Kay Germs Tu Pehlay Say Hee 
Bahut Thay Ubh Uss Ki Shkhsiat Mein Tharaow Aur Burdbaari Aa Gai Thee Uss Ki 
Muhbat Aur Khaloos Mein Koi Kami Nahi Ayee Thee Khubaani Aur Alochay Kaa Mix 
Juice Humaree Khidmat Mein Pesh Kiya Aap Gilgit Jaein Aur Ye Jucie Nahi Piya Tu 
Samajh Lijiye Aap Nay Ek Taste Of The Day Ko Miss Kar Diya Shahid Ko Waqt Nay 
Mutasir Nahi Kiya Tha Bas Kuch Sar Kay Baal Kam Hu Gaye Thay Ye Wahid Banda Tha 
Ju Kabi Karachi Nahi Aya Tha Aur Naa Hee Usay Yahan Anay Ki Koi Khahish Thee Wo 
Yahan Khush Tha Mutmaien Tha Apnay Loghun Kay Liye Kuch Karnay Kaa Jazbaa Uss 
Mein Koot Koot Kay Bhuraa Hua Tha Kai Kaam Tu Wo Apni Jaan Hatheli Par Rakh Kay 
Bee Kar Guzarta Tha Aap Ki Uss Say Jaan Pehchaan Hu Na Hu Aap Kici Muisbat Mein 
Hun Tabh Bee Shahid Aap Ko Mayuus Nahi Karay Ga Jabh Siah Gilgit Mein Raat Phans 
Jatay Hein Aur Aas Paas Koi Thikana Naa Hu Tu Shahid Asay Loghun Ki Akhree Umeed 
Huta Hay Khana Peena Rehna Sab Apnay Sar Lay Laita Hay Siah Agar Kici Valley 
Mein Jaa Kar Phans Jaein Aur Shahid Tak Baat Pohanch Jaye Tuu Ye Shakhs Jabh Tak 
Unn Ki Madad Ko Naa Pohanch Jaye Iss Ko Qaraar Nahi Ata Shahid Kay Hotel Ki 
Lobby Mein Baith Kar Duniya Jahaan Ki Baatein Huein Ajh Bee Uss Ko Kahkhaa 
Laghana Ata Tha Jis Say Pata Chalta Tha Kay Ajh Bee Jeena Chahta Hay Haar Nahi 
Maani Thee Larna Chahta Tha Har Mushkil Say Uss Ki Hansi Kaa Apna Hee Andaaz Hay 
Dubhlay Patlay Jisam Or Darmiyanay Qadh Mein Bee Wo Ek Baraa Insaan Tha Ju 
Hazaroun Mein Numayaa Tha Hum Nay Mosam Khanay Buisness Sports Tracking Climbing 
Siasat Har Mozoo Oar Uss Say Baat Ki Iss Douraan Na Janay Kitni Chai Bee Pee 
Gaye Magar Naa Wo Thak Raha Tha Na Hum Magar Time Nahi Rukk Raha Tha Agay Hee 
Agay Bar Raha Tha Iss Ko Qbu Karna Asaaan Naa Tha Raat Kaa Andhera Ubh Siaahi 
Mein Badal Chucka Tha Asmaan Sitaarun Say Bhar Chucka Tha Pahaar Siah Bhooton Ki 
Tra Nazar Aa Rahay Thay Sarakein Veeraan Hu Gein Thee Gilgit Air Port Tak Ki 
Walk Ka Programe Bana Lia Gia(Jaree Hay)