Jeep Humein Tennis Ki Ball Ki
Tra Uchaal Rahee Thee Asa Lagh Raha Tha Humara Wazan 78kg Nai Bas 78 Gm Hee Hay
Hum Bahut Mushkil Say Khud Ko Jeep Say Baher Girnay Say Bacha Rahay Thay Magar
Pher Bee Jeep Ki Koi Bee Chese Hum Say Asay Aa Kay Takraa Rahee Thee Jasay
Ghareeb Admee Say Mehanghaiee Aa Aa Kay Takraaty Hay Humaree Manzil Gigit Say
40km Dourr Naltar Valley Thee Manzar Tezi Say Pechay Dourtay Dourtay Thak Say
Gaye Thay Ubh Har Manzar Humaree Ankh Ki Dastras Mein Tha Miti Ki Khushbu
Saansun Ko Mehkaa Rahee Thee Sath Sath Pani Bee Dour Raha Tha Wo Hamesha Say
Humara Mukhalif Raha Hay Ubh Bee Mukhaalif Simt Mein Hee Dour Raha Tha Magar Uss
Ko Bahaow Jaan Lewa Type Naa Tha Jis Nay Miti Kay Garhay Ko Tor Dia Tha Ye
Masoom Saa Pani Tha Bas Iss Mein Miti Garhay Kay Teirnay Ki Gunjaaish Nahi Thee
Werna Kia Pata Sohail Ki Simran Garha Pani Mein Totnay Par Suicide Kar Laity Qun
Kay Werna Sohail Ko Kon Saree Umar Jhailtaa Ye Khiylaat Bilkul Bee Humaray Nahi
Magar Navid Or Kalim Iss Se Soo Feesad Mutafiq Thay Raastay Mein Nomal Kaa
Deedaar Hum Nay Pher Say Kia Jabh Hum Gilgit Say Hunza Jaa Rahay Thay Aur Jabh
Sost Say Gilgit Aa Rahay Thay Tu Bee Humaree Mulaqaat Nomal Say Hui Thee Nomal
Gilgit District Kaa Hee Hisa Hay Ye Gilgit Say 25 Km Dour Hay Nomal Islamabad
Say 297 Km North Mein Hay Magar Ye 297 Km Apni Misaal Aap Hein Ya Yun Keh Lijiye
Kay Ek Ek Km Bahut Say Km Apnay Andar Rakhta Hay Plantation Kafee Achi Thee Pani
Ki Farwaani Ki Waja Say Haryaali Ki Koi Kami Naa Thee Rastay Mein Nomal Kay
Ekhtimaam Say Pehlay Ek Chashmay Say Thanda Meetha Pani Piya ,,,Bahi Kam Pani
Peena Kon Har Ek Ko 12 Rotiyaan Lay Kay De Ga Kalim Nay Khud Apnaa Tank Bharnay
Kay Baad Dossrun Ko Naseehatein Shuro Kar Dein.Pani Asa Tha Kay Halaq Say Utar
Kay Jahan Jahan Jaa Raha Tha Pata Chal Raha Tha Kay Pani Kaha Tak Pohanch Gia
Hay Ye Sarzameen Iss Pani Ki Naimat Say Malaamaal Thee Hum Gilgit Say Nomal 45
Minute Mein Pohanch Gaye Thay Qun Kay Road Shaandaar Thee Or Subah Sawary Gilgit
Say Rawanghi Ki Waja Say Hum Trafic Say Bee Bach Gaye Thay Subah Kaa Nashta Hum
Nay 6 Bajay Kar Lia Tha Isi Liye Yaqeen Tha Kay 11 Bajay Din Bhook Lagh Jaye Gi
Ju Kay Koi Achi Khabar Nahi Thee Hum Sab Kay Liye Magar Apnay Pait Par Laat
Marnaa Asaan Nahi Isi Liye Hum Mazeed Nuqsaan Kay Liye Zahni Tor Par Tyaar
Thay(Jaree Hay)