Puraani Car

(HuKhan, Karachi)

Puraani Jeans Song Tu Har Pakistani Nay Sun Hee Rakha Hay Magar Purani Car Bilkul Nai Dastaan Hay Ye Song Nahi Balkay Ek Asee Dastaan Hay Jisay Par Kay Aap Ki Ankhun Mein Tu Kia Kaanu Say Bee Ansoo Behnay Lagein Gay Humaree Shamaat Ayi Kici Nay Keh Dia Khan Sahibh Aap Ki Job Ap Ki Personlity Asee Nahi Kay Aap Bus Par Kici Langhoor Ki Tra Latak Kay Jaya Kaerin Ye Aap Ki Shakhsiat Kay Sath Bahut Bara Zulm Hay Hum Nay Iss Ki Baat Suni Unsuni Kar Dee Ghar Gaye Aur Apnay 100 Salaa Puranay Ainay Mein Baar Baar Balkay Hazaar Baar Khud Ko Dekha Kay Kaha Say Hum Raja Raja Saa Nazar Atay Hein Yaa Koi Hero Ya Koi Dashing Personality Ju Public Transport Use Nahi Kar Saktay Magar Aina Bechara Khud Hee Andha Saa Tha Humein Kia Kuch Dekha Pata Naak Nazar Aty Tu Hont Ghaieb Hu Jatay Baal Dekhu Tu Laghta Hum Koi Sar Kata Numaa Insaan Hein Akhir Ainay Nay Hum Par Hum Nay Ainay Par Lanat Behjhi Soch Mein Par Gaye Cycle Say Car Par Jump Kasay Laghaein Sochtay Sochtay Subah Hu Gai Magar 2 Wheel Say 4 Naa Hu Sakay Bus Ki Khirkii Say Bahut See Car Nazar Aa Raheein Thein Chamakty Damakty Kici Haseena Ki Tra Hum Ghar Kay Paas Walay Bazaar Say Iss Liye Nahi Guzartay Kay Kahein Koi Dukaan Daar Qarz Ki Wapsi Ki Demand Hee Naa Kar Dey Isi Liye Humein Aap Gosha Nasheen Bee Keh Saktay Hein ,,,Hajoom Say Dourr Hee Rehta Hun,,,,,,,,Mein Udhaar Lay Kay Mukar Jata Hun.Hum Na Janay Kin Khiyaloun Mein Or Gutaron Say Bachtay Huay Apnay Ashiyanay Ki Taraf Rawaan Duwaan Thay Kay Wo Hee Dost Jhat Say Kici Jin Ki Tra Samnay Aa Gia ,,,,,,,Kia Socha Hazrat Qun Apnay Aap Ko De Grade Kiye Jaa Rahay Hu Ajh Kal Show Shaa Wali Duniya Hay Loghun Kay Paas 1 Hu Tu 100 Batatay Hein Or Aap Hu Kay Car Nai Naa Tu Sahi Puraani Tuu Offord Kar Hee Saktay Hu Hum Nay Uss Ko Khamosh Rehnay Kaa Ishara Kiya Bahi Qun Meray Pechay Daku Laghwao Gay Kahie Kici Konay Mein Baith Kay Hee Asee Baat Ki Jaye Layhaza Hum Dono Ek Asay Gutar Par Baith Gaye Jis Ka Dahkan Churri Hunay Say Bach Gia Tha Yhan Serf Chohay Humaree Baat Sun Saktay Thay Kher Unhein Humaree Zubaan Kia Khaak Samjh Ani Thee Asal Baat Tu Lakhun Ki Thee Ju Kay Humaray Mun Say Wesay Hee Bahut Hee Ajeebh Laghty Thee Humaray Dost Nay Humein Qaiel Kar Hee Lia Kay Hum Car Ko Or Car Humein Bahut Suit Kartein Hein Car Ki Talash Ka Masla Bee Hal Hu Gia Tha Qun Kay Car Unn Ki Saali Sahiba Sale Kar Rahee Thee Humein Ajh Yaqeen Hu Gia Tha Kay,,,,,,,,,Bina Car Kay Mein Kitna Baycaar Hun.

HuKhan
About the Author: HuKhan Read More Articles by HuKhan: 1124 Articles with 1195077 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.