Saffar Shumaal Kay(Episode 134)

(HuKhan, Karachi)

Nomal Valley Hunza Or Nigar Say Paki Or Kushada Sarak Say Jurri Hui Hay Bahut Zabardast Kisam Ki Road Asee Kay Ap Ko Yahan Say Wahan Kam Say Kam Time Mein Manzil Par Pohanchaa Detee Hay Siaah Ko Mehsoos Hee Nahi Huta Kay Wo Pakistan Kay North Mein Saffar Kar Raha Hay Naltar Valley River Iss Area Kee Haryaali Aur Khubsoraty Ki Waja Mein Sara Kamaal Iss River Kaa Hay Jis Ki Waja Say Yahan Kay Loghun Ki Life Bee Qadray Behtar Hay Or Siaah Tu Wesay Bee Daryaown Ka Ashiq Huta Hay,,Jahan Pani Waheein Zindeghi.Iss Wadhi Kay Sangham Mein Naltar Bala Or Naltar Plain Bee Shamil Hay Rastay Mein Jutal Aur Matum Das Gaon Bee Aye Jahan Jeeps Park Huein Kharee Thee Yeni Jeep Aur Siaah Yahan Kay Waseela Rozghaar Bee Thay Muqami Loghun Ka Hunza Sost Gilgit Nigar Ka Safar Bee In Jeeps Ki Waja Say Asaan Tha Magar Aap Jabh Bee Naltar Valley Anay Ka Plan Kaerin Tu Kam Say Kam Nashta Kar Kay Aein Werna Jeep Jis Tra Aap Ko Ball Ki Tra Uchaalty Hay Aap Ka Khana Kici Beee Rastay Say Baher Aa Sakta Hay So Be Carefull.Matum Das ,Garesh Jutal Nomal Ye Sabh Mil Kay Naltar Valley Ko Complete Kartein Hein Paharun Kay Daman Mein Pheli Hui Greenery Thandi Hawa Aab E Hayat Jasay Chashmay Kia Nahi Tha Sab Kuch Tha Balkay Bahut Kuch Thaa Jeep Ubh Darya Kay Kam Pani Wali Hisay Say Guzar Rahee Thee Goal Goal Chiknay Pathar Aur Jeep Tyres Kay Darmiyaan Rasa Kashi Jaaree Thee Aur Hum Uchal Uchal Kay Ek Dosray Ki Godh Mein Janay Say Bach Rahay Thay,,,,,,,,Acha Hua Niaz Nahi Aya Navid Nay Kahaa Qun Wo Ata Tu Kia Hu Jata,,,Sohail Ki Baat Par Kalim Nay Navid Say Pehlay Hee Raaz Afshan Kar Diya Ko Wo Pehlay Hee Paharun Say Bahut Tangh Hay ,,,Yaar Wo Pahaarun Say Zayda Hum Loghun Say Tangh Hay Itnay Kanghlay Siaah Uss Nay Pehli Dafa Dekhay Hein Khan Sahib Naa Khud Kuch Khatay Hein ,,,,,Kalim Bahut Sanjeeda Hu Raha Tha,,,,,,,,,,,,,,Yaaru Ye Local Saagh Hay ,Ye Local Jucie Ye Local Daaal Hay Local Pani Logh Ye Sabh Khanay Hee Tu Atay Hein Ye Keh Keh Kar Khan Sahib Nay Khanay Ki Sense Ko Hee Hurt Kar Diya Hay Sohail Nay Kalim Kaa Bharpoor Sath Diya Humara Munh Valeey Ki Taraf Tha Aur Kaan Inn Ki Taraf Thay,,,,,,,,Ubh Ye Sun Hee Nahi Raha Navid Nay Jal Kar Kahaaa,,,,Kia Karun Meri Jaib Halki Hay Ajh Kal Bahut Karki Hay,,,,,,,,Hum Nay Sheir Par Diya,,,,,Yaar Sab Say Aur Collection Lay Lo Magar Pait Kay Jazbaat Say Naa Khelo Navid Nay Masoom See Sorat Bana Kay Kaha(Jaree Hay)

HuKhan
About the Author: HuKhan Read More Articles by HuKhan: 1124 Articles with 1253748 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.